dimak
ḳhuun kā har ik qatra jaise
dīmak ban kar dauḌe
nākāmī ke zahr ko chāTe
dard meñ ghultā jaa.e
chhalnī jism se riste lekin
armānoñ ke rañg
jin kā ruup meñ aanā mushkil
aur jab bhī alfāz meñ Dhal kar
kāġhaz par bah nikle
ḳhāke tasvīroñ ke banā.e
āñkheñ taare haath shuā.eñ
dil ek sadaf hai jis meñ
kitne sachche motī bhare hue haiñ
bāhar aate hī ye motī
shabnam ban kar uḌ jaate haiñ
jaise apnā khoyā sūraj DhūñD rahe haiñ
maiñ apne anjām se pahle
shāyad ik din
in ḳhākoñ meñ rañg bharūñgā
ye bhī to mumkin hai lekin
maiñ bhī ik ḳhāka ban jā.ūñ
jis ko dīmak chaaT rahī ho
KHun ka har ek qatra jaise
dimak ban kar dauDe
nakaami ke zahr ko chaTe
dard mein ghulta jae
chhalni jism se riste lekin
armanon ke rang
jin ka rup mein aana mushkil
aur jab bhi alfaz mein Dhal kar
kaghaz par bah nikle
KHake taswiron ke banae
aankhen tare hath shuaen
dil ek sadaf hai jis mein
kitne sachche moti bhare hue hain
bahar aate hi ye moti
shabnam ban kar uD jate hain
jaise apna khoya suraj DhunD rahe hain
main apne anjam se pahle
shayad ek din
in KHakon mein rang bharunga
ye bhi to mumkin hai lekin
main bhi ek KHaka ban jaun
jis ko dimak chaT rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.