Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dipawli

Nazeer Banarasi

dipawli

Nazeer Banarasi

MORE BYNazeer Banarasi

    mirī sāñsoñ ko giit aur aatmā ko saaz detī hai

    ye dīvālī hai sab ko jiine andāz detī hai

    hirdai ke dvaar par rah rah ke detā hai koī dastak

    barābar zindagī āvāz par āvāz detī hai

    simaTtā hai añdherā paañv phailātī hai dīvālī

    hañsā.e jaatī hai rajnī hañse jaatī hai dīvālī

    qatāreñ dekhtā huuñ chalte-phirte māh-pāroñ

    ghaTā.eñ āñchaloñ aur barkhā hai sitāroñ

    vo kaale kaale gesū surḳh hoñT aur phuul se aariz

    nagar meñ har taraf pariyāñ Tahaltī haiñ bahāroñ

    nigāhoñ muqaddar aa ke chamkātī hai dīvālī

    pahan kar dīp-mālā naaz farmātī hai dīvālī

    ujāle zamāna hai ujāle javānī hai

    ye hañstī jagmagātī raat sab rātoñ raanī hai

    vahī duniyā hai lekin husn dekho aaj duniyā

    hai jab tak raat baaqī kah nahīñ sakte ki faanī hai

    vo jīvan aaj raat aa ke barsātī hai dīvālī

    pasīna maut ke māthe pe chhalkātī hai dīvālī

    sabhī ke diip sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyā

    ujālā har taraf hai is kināre us kināre kyā

    gagan jagmagāhaT paḌ ga.ī hai aaj maddham kyuuñ

    muñDeroñ aur chhajjoñ par utar aa.e haiñ taare kyā

    hazāroñ saal guzre phir bhī jab aatī hai dīvālī

    mahal ho chāhe kuTiyā sab pe chhā jaatī hai dīvālī

    isī din darupadī ne krishn ko bhaa.ī banāyā thā

    vachan ke dene vaale ne vachan apnā nibhāyā thā

    janam din laxmī hai bhalā is din kyā kahnā

    yahī vo din hai jis ne raam ko raaja banāyā thā

    ka.ī itihās ko ek saath dohrātī hai dīvālī

    mohabbat par vijay ke phuul barsātī hai dīvālī

    gale meñ haar phūloñ charan meñ dīp-mālā.eñ

    mukuT sar par hai mukh par zindagī rūp-rekhā.eñ

    liye haiñ kar meñ mañgal-ghaT na kyuuñ ghaT ghaT pe chhā jaa.eñ

    agar partav paḌe murda-diloñ par vo bhī jaa.eñ

    ajab andāz se rah rah ke muskātī hai dīvālī

    mohabbat lahar nas nas meñ dauḌātī hai dīvālī

    tumhārā huuñ tum apnī baat mujh se kyuuñ chhupāte ho

    mujhe ma.alūm hai jis ke liye chakkar lagāte ho

    banaras ke ho tum ko chāhiye tyauhār ghar karnā

    butoñ ko chhoḌ kar tum kyuuñ allahabad jaate ho

    na jaao aise meñ bāhar 'nazīr' aatī hai dīvālī

    ye kāshī hai yahīñ to rañg dikhlātī hai dīvālī

    meri sanson ko git aur aatma ko saz deti hai

    ye diwali hai sab ko jine ka andaz deti hai

    hirdai ke dwar par rah rah ke deta hai koi dastak

    barabar zindagi aawaz par aawaz deti hai

    simaTta hai andhera panw phailati hai diwali

    hansae jati hai rajni hanse jati hai diwali

    qataren dekhta hun chalte-phirte mah-paron ki

    ghaTaen aanchalon ki aur barkha hai sitaron ki

    wo kale kale gesu surKH honT aur phul se aariz

    nagar mein har taraf pariyan Tahalti hain bahaaron ki

    nigahon ka muqaddar aa ke chamkati hai diwali

    pahan kar dip-mala naz farmati hai diwali

    ujale ka zamana hai ujale ki jawani hai

    ye hansti jagmagati raat sab raaton ki rani hai

    wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka

    hai jab tak raat baqi kah nahin sakte ki fani hai

    wo jiwan aaj ki raat aa ke barsati hai diwali

    pasina maut ke mathe pe chhalkati hai diwali

    sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya

    ujala har taraf hai is kinare us kinare kya

    gagan ki jagmagahaT paD gai hai aaj maddham kyun

    munDeron aur chhajjon par utar aae hain tare kya

    hazaron sal guzre phir bhi jab aati hai diwali

    mahal ho chahe kuTiya sab pe chha jati hai diwali

    isi din darupadi ne krishn ko bhai banaya tha

    wachan ke dene wale ne wachan apna nibhaya tha

    janam din laxmi ka hai bhala is din ka kya kahna

    yahi wo din hai jis ne ram ko raja banaya tha

    kai itihas ko ek sath dohraati hai diwali

    mohabbat par wijay ke phul barsati hai diwali

    gale mein haar phulon ka charan mein dip-malaen

    mukuT sar par hai mukh par zindagi ki rup-rekhaen

    liye hain kar mein mangal-ghaT na kyun ghaT ghaT pe chha jaen

    agar partaw paDe murda-dilon par wo bhi ji jaen

    ajab andaz se rah rah ke muskati hai diwali

    mohabbat ki lahar nas nas mein dauDati hai diwali

    tumhaara hun tum apni baat mujh se kyun chhupate ho

    mujhe malum hai jis ke liye chakkar lagate ho

    banaras ke ho tum ko chahiye tyauhaar ghar karna

    buton ko chhoD kar tum kyun allahabad jate ho

    na jao aise mein bahar 'nazir' aati hai diwali

    ye kashi hai yahin to rang dikhlati hai diwali

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 386)
    • Author : Nazeer Banarsi
    • Publication : Educational Publishing House (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now