ulaT palaT
ham nanhe nanhe
is duniyā ke
bachchoñ kī jo fitrat hai
vo ek sī hai
ma.asūm sī hai
gar laḌte aur jhagaḌte haiñ
pul meñ yakjā ho jaate haiñ
ham meñ na to
kuchh bhed bhaav hai
aur
na dil meñ
ham sab ke dil meñ baste haiñ
mil kar sab rote hañste haiñ
phir bhī
is daur-e-taraqqī meñ
in baḌe baḌoñ kī bastī meñ
itnī lambī
duurī kyoñ hai
aur itnā baḌā
ye farq hai kyoñ
aao pāshā
ham sab sāthī
ik naġhma sunā.īñ mil jal kar
is daur ke saare buzurgoñ ko
kuchh gur kī baat batā jaa.eñ
aur amn kī raah dikhā jaa.eñ
haa.il dīvār girā jaa.eñ
rahnumā mil-jul ke sikhā jaa.eñ
hum nanhe nanhe
is duniya ke
bachchon ki jo fitrat hai
wo ek si hai
masum si hai
gar laDte aur jhagaDte hain
pul mein yakja ho jate hain
hum mein na to
kuchh bhed bhaw hai
aur
na dil mein
hum sab ke dil mein baste hain
mil kar sab rote hanste hain
phir bhi
is daur-e-taraqqi mein
in baDe baDon ki basti mein
itni lambi
duri kyon hai
aur itna baDa
ye farq hai kyon
aao pasha
hum sab sathi
ek naghma sunain mil jal kar
is daur ke sare buzurgon ko
kuchh gur ki baat bata jaen
aur amn ki rah dikha jaen
hail diwar gira jaen
rahnuma mil-jul ke sikha jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.