diwali 1958
dīpāvalī aatī hai jo har saal phir aa.ī
paiġhām masarrat kā jahāñ ke liye laa.ī
maqsūd hai kuchh jashn bhī kuchh is se bhalā.ī
barsāt kā mausam gayā lāzim hai safā.ī
paiġhām-e-nafāsat hai ba-har-gām dīvālī
duniyā nahīñ bhūlī hai abhī raam kā aanā
furqat-zada bhaa.ī ko kaleje se lagānā
mushtāq thī ḳhilqat use dīdār dikhānā
phir ḳhalq kā fart-e-ḳhushī se jashn manānā
bichhḌoñ ko milāne kā hai paiġhām dīvālī
tā-sāl ye lāzim hai ki mehnat se kamā.eñ
kuchh nek-o-bad ayyām kī ḳhātir bhī bachā.eñ
har roz ḳhudā jitnī bhī taufīq de khā.eñ
phir saal ke tehvār pe ham jashn manā.eñ
ik saal kī mehnat kā hai in.aam dīvālī
bāzār meñ sajtī haiñ miThā.ī kī dukāneñ
khīloñ ke kahīñ Dher batāshoñ kī qatāreñ
miTTī ke khilaune haiñ jo muñh se abhī boleñ
har chiiz pe vo husn ki sab jaan ko vāreñ
hai dil kī ḳhushī jaan kā ārām dīvālī
raushan haiñ diye jaise zamīñ par hoñ sitāre
qindīl ke saa.e kahīñ bijlī ke bhabhūke
vo laxmī-pūjan vo aqīdat ke bulāve
tum aa ke raho ghar meñ ki raunaq hai tumhīñ se
tum aao to zulmat ko kare raam dīvālī
jo chāhte haiñ lakshmī ho jald hamārī
hai jitnī bhī daulat hameñ mil jaa.e vo saarī
tehvār ye juue se manāte haiñ juārī
ho haar ki ho jiit hai donoñ meñ hī ḳhvārī
un ke liye hai bā.is-e-ilzām dīvālī
vābasta dīvālī se haiñ maazī ke fasāne
kuchh shauq ke qisse bhī haiñ kuchh hijr ke sadme
kuchh bā.is-e-taskīñ haiñ 'shifā' aaj ke jalve
māhaul ye kab tak hai ise kyā koī jaane
hai rang meñ Duubī huī ik shaam dīvālī
dipawali aati hai jo har sal phir aai
paigham masarrat ka jahan ke liye lai
maqsud hai kuchh jashn bhi kuchh is se bhalai
barsat ka mausam gaya lazim hai safai
paigham-e-nafasat hai ba-har-gam diwali
duniya nahin bhuli hai abhi ram ka aana
furqat-zada bhai ko kaleje se lagana
mushtaq thi KHilqat use didar dikhana
phir KHalq ka fart-e-KHushi se jashn manana
bichhDon ko milane ka hai paigham diwali
ta-sal ye lazim hai ki mehnat se kamaen
kuchh nek-o-bad ayyam ki KHatir bhi bachaen
har roz KHuda jitni bhi taufiq de khaen
phir sal ke tehwar pe hum jashn manaen
ek sal ki mehnat ka hai inam diwali
bazar mein sajti hain miThai ki dukanen
khilon ke kahin Dher batashon ki qataren
miTTi ke khilaune hain jo munh se abhi bolen
har chiz pe wo husn ki sab jaan ko waren
hai dil ki KHushi jaan ka aaram diwali
raushan hain diye jaise zamin par hon sitare
qindil ke sae kahin bijli ke bhabhuke
wo laxmi-pujan wo aqidat ke bulawe
tum aa ke raho ghar mein ki raunaq hai tumhin se
tum aao to zulmat ko kare ram diwali
jo chahte hain lakshmi ho jald hamari
hai jitni bhi daulat hamein mil jae wo sari
tehwar ye jue se manate hain juari
ho haar ki ho jit hai donon mein hi KHwari
un ke liye hai bais-e-ilzam diwali
wabasta diwali se hain mazi ke fasane
kuchh shauq ke qisse bhi hain kuchh hijr ke sadme
kuchh bais-e-taskin hain 'shifa' aaj ke jalwe
mahaul ye kab tak hai ise kya koi jaane
hai rang mein Dubi hui ek sham diwali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.