diwali aai
chaar jānib hai yahī shor divālī aa.ī
sāl-e-māzī kī tarah laa.ī hai ḳhushiyāñ imsāl
yuuñ to har shaḳhs masarrat se khilā jaatā hai
phir bhī bachche hue jaate haiñ ḳhushī se behāl
har bashar mahv hai is jashn kī tayyārī meñ
taaki ḳhushiyoñ kā qamar aur ziyā-baḳhsh hai
kar rahe haiñ sabhī mil-jul ke safā.ī ghar kī
un kī koshish hai ki tābinda har ek naqsh bane
utar aa.e haiñ zamīñ par bhī falak se taare
dāman-e-charḳh meñ ai dosto kyā rakkhā hai
rashk-aflāk nazar aatī hai har ik bastī
aaj dhartī ko bhī ākāsh banā rakkhā hai
sāf-shaffāf chamakte hue pur-nūr makāñ
sehn-e-gulshan meñ khile jaise hoñ rañgīn gulāb
jhiil meñ tairte hoñ nuur se ma.amūr kañval
yā utar aa.e hoñ gardūñ se hazāroñ mahtāb
mujh ko bhātī nahīñ vallāh maiñ sach kahtā huuñ
zāhirī aur dikhāve kī sajāvaT yaaro
jab ki āzād haiñ sab mulk bhī apnā āzād
mujh ko achchhī nahīñ lagtī hai banāvaT ab to
ham ne ajdād kī ādāt bhulā rakkhī haiñ
un kī nazroñ meñ to har qaum barābar thī kañval
vo samajhte the har ik qaum ko apnā bhaa.ī
un kī is baat ke shāhid haiñ abhī dasht-o-jabal
dasht meñ raam ne shabrī kī ziyāfat khaa.ī
bhīlnī ke yahāñ khāne meñ bhī inkār na thā
kyā batā.eñge ye arbāb-e-ḳhirad ab mujh ko
ġhair sugrīv shrī-rām kā kyā yaar na thā
raam kī fauj meñ har qaum ke afrād na the
kyā hanūmān na the fauj kī un kī sālār
maiñ karūñ us kī shikāyat to nahīñ hai bejā
kyā tumheñ aaj haqīqat meñ hai ajdād se pyaar
kyā tumheñ chhūt kā ye dars buzurgoñ ne diyā
kyā tumheñ firqa-parastī kī ijāzat dī thī
raam ke mānñe vaalo kabhī itnā sochā
kyā buzurgoñ ne kisī qaum se nafrat kī thī
merā kahnā hai yahī hind ke bāshindoñ se
qalb kī apne safā.ī karo pahle yaaro
dil meñ nafrat kī siyāhī kī jo āmezish hai
āb-e-ulfat se dhulā.ī karo pahle yaaro
ab to ulfat ke charāġhoñ ko jalā kar pahle
ghar meñ har ik ke na.ī jot jagānā hai tumheñ
nūr-e-ulfat se sajānā hai na.e bhārat ko
mil ke tyauhār divālī kā manānā hai tumheñ
mujh ko ḳhvāhish hai usī shaan kī dīvālī kī
laxmī desh meñ ulfat kī shab-o-roz rahe
desh ko pyaar se mehnat se sañvāreñ mil kar
ahl-e-bhārat ke diloñ meñ ye 'kañval' soz rahe
chaar jaanib hai yahi shor diwali aai
sal-e-mazi ki tarah lai hai KHushiyan imsal
yun to har shaKHs masarrat se khila jata hai
phir bhi bachche hue jate hain KHushi se behaal
har bashar mahw hai is jashn ki tayyari mein
taki KHushiyon ka qamar aur ziya-baKHsh hai
kar rahe hain sabhi mil-jul ke safai ghar ki
un ki koshish hai ki tabinda har ek naqsh bane
utar aae hain zamin par bhi falak se tare
daman-e-charKH mein ai dosto kya rakkha hai
rashk-aflak nazar aati hai har ek basti
aaj dharti ko bhi aakash bana rakkha hai
saf-shaffaf chamakte hue pur-nur makan
sehn-e-gulshan mein khile jaise hon rangin gulab
jhil mein tairte hon nur se mamur kanwal
ya utar aae hon gardun se hazaron mahtab
mujh ko bhati nahin wallah main sach kahta hun
zahiri aur dikhawe ki sajawaT yaro
jab ki aazad hain sab mulk bhi apna aazad
mujh ko achchhi nahin lagti hai banawaT ab to
hum ne ajdad ki aadat bhula rakkhi hain
un ki nazron mein to har qaum barabar thi kanwal
wo samajhte the har ek qaum ko apna bhai
un ki is baat ke shahid hain abhi dasht-o-jabal
dasht mein ram ne shabri ki ziyafat khai
bhilni ke yahan khane mein bhi inkar na tha
kya bataenge ye arbab-e-KHirad ab mujh ko
ghair sugriw shri-ram ka kya yar na tha
ram ki fauj mein har qaum ke afrad na the
kya hanuman na the fauj ki un ki salar
main karun us ki shikayat to nahin hai beja
kya tumhein aaj haqiqat mein hai ajdad se pyar
kya tumhein chhut ka ye dars buzurgon ne diya
kya tumhein firqa-parasti ki ijazat di thi
ram ke manne walo kabhi itna socha
kya buzurgon ne kisi qaum se nafrat ki thi
mera kahna hai yahi hind ke bashindon se
qalb ki apne safai karo pahle yaro
dil mein nafrat ki siyahi ki jo aamezish hai
aab-e-ulfat se dhulai karo pahle yaro
ab to ulfat ke charaghon ko jala kar pahle
ghar mein har ek ke nai jot jagana hai tumhein
nur-e-ulfat se sajaana hai nae bhaarat ko
mil ke tyauhaar diwali ka manana hai tumhein
mujh ko KHwahish hai usi shan ki diwali ki
laxmi desh mein ulfat ki shab-o-roz rahe
desh ko pyar se mehnat se sanwaren mil kar
ahl-e-bhaarat ke dilon mein ye 'kanwal' soz rahe
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 78)
- Author : Kanwal Dibaivi
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.