diwali
har ġham ko bhuul jaao divālī kī raat hai
aao diye jalāo divālī kī raat hai
har diip de rahā hai na.ī sub.h kā payām
ab tum bhī muskurāo divālī kī raat hai
maiñ ne bhī kuchh charāġh-e-mohabbat jalā.e haiñ
bachcho qarīb aao divālī kī raat hai
chhoTe baḌoñ kā bhed na rakkho diloñ meñ aaj
sab ko qarīb laao divālī kī raat hai
hañstā hai ye divālī kā ik ik charāġh aaj
hoñToñ pe gul khilāo miThā.ī uḌaao mauj
aur phuljhaḌī chuḌāo divālī kī raat hai
har gham ko bhul jao diwali ki raat hai
aao diye jalao diwali ki raat hai
har dip de raha hai nai subh ka payam
ab tum bhi muskurao diwali ki raat hai
main ne bhi kuchh charagh-e-mohabbat jalae hain
bachcho qarib aao diwali ki raat hai
chhoTe baDon ka bhed na rakkho dilon mein aaj
sab ko qarib lao diwali ki raat hai
hansta hai ye diwali ka ek ek charagh aaj
honTon pe gul khilao miThai uDao mauj
aur phuljhaDi chuDao diwali ki raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.