diwali
har ik makāñ meñ jalā phir diyā divālī kā
har ik taraf ko ujālā huā divālī kā
sabhī ke dil meñ samāñ bhā gayā divālī kā
kisī ke dil ko mazā ḳhush lagā divālī kā
ajab bahār kā hai din banā divālī kā
jahāñ meñ yaaro ajab tarah kā hai ye tyauhār
kisī ne naqd liyā aur koī kare hai udhār
khilaune kheloñ batāshoñ kā garm hai bāzār
har ik dukāñ meñ charāġhoñ kī ho rahī hai bahār
sabhoñ ko fikr hai ab jā-ba-jā divālī kā
miThā.iyoñ kī dukāneñ lagā ke halvā.ī
pukārte haiñ ki laala divālī hai aa.ī
batāshe le koī barfī kisī ne tulvā.ī
khilaune vāloñ kī un se ziyāda ban aa.ī
goyā unhoñ ke vaañ raaj aa gayā divālī kā
har ek makan mein jala phir diya diwali ka
har ek taraf ko ujala hua diwali ka
sabhi ke dil mein saman bha gaya diwali ka
kisi ke dil ko maza KHush laga diwali ka
ajab bahaar ka hai din bana diwali ka
jahan mein yaro ajab tarah ka hai ye tyauhaar
kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar
khilaune khelon batashon ka garm hai bazar
har ek dukan mein charaghon ki ho rahi hai bahaar
sabhon ko fikr hai ab ja-ba-ja diwali ka
miThaiyon ki dukanen laga ke halwai
pukarte hain ki lala diwali hai aai
batashe le koi barfi kisi ne tulwai
khilaune walon ki un se ziyaada ban aai
goya unhon ke wan raj aa gaya diwali ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.