diwali
nuur ke chashme 'ināyat kar diye zulmāt ne
zindagī kī ek ik kulfat miTāne ke liye
sirf pal-bhar ko ġham-e-jānāñ bhulāne ke liye
har baras aatī hai dīvālī 'ajab andāz se
lakshmī kā ho rahā hai phir se istiqbāl aaj
sāf-suthrī duudh se dhoī har ik dīvār hai
konā konā gosha gosha matla’-e-anvār hai
ho ga.e afsurda chehre bhī ḳhushī se laal aaj
ham tavajjoh dil kī duniyā kī taraf dete nahīñ
pyaar ke do bol mīThe bolnā chāheñ to kyoñ
dūsroñ ke ġham kī ḳhātir ham bhareñ aa.heñ to kyoñ
ham charāġhoñ se kabhī ik dars bhī lete nahīñ
dhan ke matvāle haiñ ham hirs-o-havas meñ chuur haiñ
asl meñ apnī haqīqat hī se kosoñ duur haiñ
nur ke chashme 'inayat kar diye zulmat ne
zindagi ki ek ek kulfat miTane ke liye
sirf pal-bhar ko gham-e-jaanan bhulane ke liye
har baras aati hai diwali 'ajab andaz se
lakshmi ka ho raha hai phir se istiqbaal aaj
saf-suthri dudh se dhoi har ek diwar hai
kona kona gosha gosha matla’-e-anwar hai
ho gae afsurda chehre bhi KHushi se lal aaj
hum tawajjoh dil ki duniya ki taraf dete nahin
pyar ke do bol miThe bolna chahen to kyon
dusron ke gham ki KHatir hum bharen aahen to kyon
hum charaghon se kabhi ek dars bhi lete nahin
dhan ke matwale hain hum hirs-o-hawas mein chur hain
asl mein apni haqiqat hi se koson dur hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.