diwali
raam ke hijr meñ ik roz bharat ne ye kahā
qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahīñ chain zarā
dil meñ armāñ hai ki aa jaa.eñ vatan meñ raghubir
yaad meñ un kī kaleje meñ chubhe haiñ nashtar
koī bhaa.ī se kahe zaḳhm-e-jigar bhar deñ mirā
ḳhāna-e-dil ko ziyārat se munavvar kar deñ
raam aa.eñ to diye ghī ke jalā.ūñ ghar ghar
dīp-mālā kā samāñ aaj dikhā.ūñ ghar ghar
teġh-e-furqat se jigar paash huā jaatā hai
dil ġham-e-rañj se pāmāl huā jaatā hai
daaġh haiñ mere jale dil pe hazāroñ lākhoñ
ġham ke nashtar jo chale dil pe hazāroñ lākhoñ
kah rahe the ye bharat jabki sirī-rām aa.e
dhuum duniyā meñ machī nuur ke bādal chhā.e
arsh tak farsh se jai jai kī sadā jaatī thī
ḳhurramī ashk har ik aañkh se barsātī thī
jalva-e-ruḳh se huā raam ke aalam raushan
pur umīdoñ ke guloñ se huā sab kā dāman
mohnī shakl jo raghubir kī nazar aatī thī
aañkh tāzīm se ḳhilqat kī jhukī jaatī thī
muddatoñ ba.ad bharat ne ye nazāra dekhā
kāmyābī ke falak par thā sitāra chamkā
dil ḳhushī se kabhī pahlū meñ uchhal paḌtā thā
ho mubārak ye kabhī muñh se nikal paḌtā thā
hote raushan haiñ charāġh aaj jahāñ meñ yaksāñ
gul huā aaj hī par ek charāġh-e-tābāñ
hai murād us se vo bhārat kā charāġh-e-raushan
naam hai jis kā dayānand jo thā faḳhr-e-vatan
jis dayānand ne bhārat kī palaT dī qismat
jis dayānand ne duniyā kī badal dī hālat
jis dayānand ne gulzār banā.e jañgal
jis dayānand ne qaumoñ meñ machā dī halchal
aaj vo hind kā afsos dulārā na rahā
ġham-nasīboñ ke liye koī sahārā na rahā
yaad hai us kī zamāne meñ har ik sū jaarī
us kī furqat kī lagī teġh jigar par kaarī
dil ye kahtā hai ki is vaqt zabāneñ kholeñ
aao mil mil ke dayānand kī ham jai boleñ
ram ke hijr mein ek roz bharat ne ye kaha
qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahin chain zara
dil mein arman hai ki aa jaen watan mein raghubir
yaad mein un ki kaleje mein chubhe hain nashtar
koi bhai se kahe zaKHm-e-jigar bhar den mera
KHana-e-dil ko ziyarat se munawwar kar den
ram aaen to diye ghi ke jalaun ghar ghar
dip-mala ka saman aaj dikhaun ghar ghar
tegh-e-furqat se jigar pash hua jata hai
dil gham-e-ranj se pamal hua jata hai
dagh hain mere jale dil pe hazaron lakhon
gham ke nashtar jo chale dil pe hazaron lakhon
kah rahe the ye bharat jabki siri-ram aae
dhum duniya mein machi nur ke baadal chhae
arsh tak farsh se jai jai ki sada jati thi
KHurrami ashk har ek aankh se barsati thi
jalwa-e-ruKH se hua ram ke aalam raushan
pur umidon ke gulon se hua sab ka daman
mohni shakl jo raghubir ki nazar aati thi
aankh tazim se KHilqat ki jhuki jati thi
muddaton baad bharat ne ye nazara dekha
kaamyabi ke falak par tha sitara chamka
dil KHushi se kabhi pahlu mein uchhal paDta tha
ho mubarak ye kabhi munh se nikal paDta tha
hote raushan hain charagh aaj jahan mein yaksan
gul hua aaj hi par ek charagh-e-taban
hai murad us se wo bhaarat ka charagh-e-raushan
nam hai jis ka dayanand jo tha faKHr-e-watan
jis dayanand ne bhaarat ki palaT di qismat
jis dayanand ne duniya ki badal di haalat
jis dayanand ne gulzar banae jangal
jis dayanand ne qaumon mein macha di halchal
aaj wo hind ka afsos dulara na raha
gham-nasibon ke liye koi sahaara na raha
yaad hai us ki zamane mein har ek su jari
us ki furqat ki lagi tegh jigar par kari
dil ye kahta hai ki is waqt zabanen kholen
aao mil mil ke dayanand ki hum jai bolen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.