diwali se mutalliq
jal rahe haiñ diye muñDeroñ par
ho rahā hai karam añdheroñ par
tum jo ban kar kiran kiran aao
dāġh-e-dil bhī hañseñ saveroñ par
muskurātī huī chalī aao
dil sulagtā hai daaġh jalte haiñ
chhanchhanātī huī chalī aao
ārzūoñ ke baaġh jalte haiñ
hun kī devī ho tum mire ghar meñ
roz dīvālī ġham-zada ghar meñ
hun luTātī huī chalī aao
āñsuoñ ke charāġh jalte haiñ
jis ko kahte haiñ log dīvālī
ūñche ādarsh kī nishānī hai
bāp-dādoñ ke paak jīvan kī
ek azmat-bharī kahānī hai
jal rahe hain diye munDeron par
ho raha hai karam andheron par
tum jo ban kar kiran kiran aao
dagh-e-dil bhi hansen saweron par
muskuraati hui chali aao
dil sulagta hai dagh jalte hain
chhanchhanati hui chali aao
aarzuon ke bagh jalte hain
hun ki dewi ho tum mere ghar mein
roz diwali gham-zada ghar mein
hun luTati hui chali aao
aansuon ke charagh jalte hain
jis ko kahte hain log diwali
unche aadarsh ki nishani hai
bap-dadon ke pak jiwan ki
ek azmat-bhari kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.