diwar-e-girya
vo kaisā shobada-gar thā
jo masnūī sitāroñ
aur naqlī sūrajoñ kī
ik jhalak dikhlā ke
mere saada dil logoñ
kī āñkhoñ ke diye
hoñToñ ke jugnū
le gayā
aur ab ye aalam hai
ki mere shahr kā
har ik makāñ
ik ġhaar kī mānind
mahrūm-e-navā hai
aur hañstā boltā har shaḳhs
ik dīvār-e-girya hai
wo kaisa shobada-gar tha
jo masnui sitaron
aur naqli surajon ki
ek jhalak dikhla ke
mere sada dil logon
ki aankhon ke diye
honTon ke jugnu
le gaya
aur ab ye aalam hai
ki mere shahr ka
har ek makan
ek ghaar ki manind
mahrum-e-nawa hai
aur hansta bolta har shaKHs
ek diwar-e-girya hai
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 556)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.