diwar-e-girya
vaqt kī bhaTkī huī arvāh kā nauha huuñ maiñ
ret kī alvāh par kunda koī madfūn din
madqūq din
be-sarāhat ḳhvāb kī tafhīm meñ
hairān o sargardāñ huuñ maiñ
apne andar
ik azā-ḳhāna sajāne kī tag-o-dau
roz ik dīvār-e-girya ko uThāne kī mashaqqat
aur pas-e-dīvār jaane kī tag-o-dau
waqt ki bhaTki hui arwah ka nauha hun main
ret ki alwah par kunda koi madfun din
madquq din
be-sarahat KHwab ki tafhim mein
hairan o sargardan hun main
apne andar
ek aza-KHana sajaane ki tag-o-dau
roz ek diwar-e-girya ko uThane ki mashaqqat
aur pas-e-diwar jaane ki tag-o-dau
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.