diwar-e-kaba 19 nowember 1989
tū mujhe god meñ le ke yāroñ azīzoñ meñ bāzār-o-daftar ko jaatā
mujhe yaad hai ye
shahr kī niim tārīk galiyoñ meñ aksar maiñ suntā thā ik Dar kī chaap apne pīchhe se aatī
mere bachpan kī shaffāf ma.asūm āñkhoñ meñ nā-mehrbāñ jaane pahchāne chehroñ kā Dar thā
mere dil kā ye shīsha ik an-hone Dar se taḌaḳh sā gayā thā ki jis kī sadā tak nahīñ thī
ye vo Dar thā ki jis kī koī ek tashrīh mumkin nahīñ thī
magar mere kachche se dil meñ
ek āsebī pīpal kī jaḌ thī mujh ko tū ik din inhī meñ akelā chhoḌ degā
jis kī shāḳheñ hirāsāñ nigāhoñ se niklī vo shāḳheñ mujhe bed-e-majnūñ sā larzā.e rakhtīñ
terā siina vo dīvār-e-ka.aba thā jis se chimaT kar maiñ duniyā ke har ġham se begāna hotā
tere mushfiq do lab goyā bāb-e-haram the
vo bosa nahīñ thā halāvat kā dar ik khulā thā
jis se shīrīñ latāfat meñ gūñdhī tamāzat mire din ko tābāñ mirī raat ko garm rakhtī
Dar añdhere kā Dar shahr kī tañg-o-tārīk galiyoñ kā Dar mere bachpan kā hissa rahā hai
Dar vo schōl ke rāste meñ khaḌe ek maj.hūl insāñ kā Dar jis ko ḳhud ham se Dar thā
Dar vo matrūk bālīñ pe Derā kiye kuchh chuḌailoñ kā Dar jo hamesha kā qissa rahā hai
ḳhair ye Dar to bachpan kā hissa hue be-muravvat shanāsā se chehroñ kā Dar hai abhī bhī
mere andar kā sahmā sā bachcha vo dīvār-e-ka.aba abhī DhūñDhtā hai ki jis meñ amaañ thī
aaj daftar salāmat hai bāzār-o-kūche kī raunaq vahī hai
vo dīvār-e-ka.aba magar ab nahīñ hai
maiñ november ke us sard din meñ TheThurtā huuñ ab bhī ki jab tū akelā mujhe kar gayā thā
tu mujhe god mein le ke yaron azizon mein bazar-o-daftar ko jata
mujhe yaad hai ye
shahr ki nim tarik galiyon mein aksar main sunta tha ek Dar ki chap apne pichhe se aati
mere bachpan ki shaffaf masum aankhon mein na-mehrban jaane pahchane chehron ka Dar tha
mere dil ka ye shisha ek an-hone Dar se taDaKH sa gaya tha ki jis ki sada tak nahin thi
ye wo Dar tha ki jis ki koi ek tashrih mumkin nahin thi
magar mere kachche se dil mein
ek aasebi pipal ki jaD thi mujh ko tu ek din inhi mein akela chhoD dega
jis ki shaKHen hirasan nigahon se nikli wo shaKHen mujhe bed-e-majnun sa larzae rakhtin
tera sina wo diwar-e-kaba tha jis se chimaT kar main duniya ke har gham se begana hota
tere mushfiq do lab goya bab-e-haram the
wo bosa nahin tha halawat ka dar ek khula tha
jis se shirin latafat mein gundhi tamazat mere din ko taban meri raat ko garm rakhti
Dar andhere ka Dar shahr ki tang-o-tarik galiyon ka Dar mere bachpan ka hissa raha hai
Dar wo school ke raste mein khaDe ek majhul insan ka Dar jis ko KHud hum se Dar tha
Dar wo matruk baalin pe Dera kiye kuchh chuDailon ka Dar jo hamesha ka qissa raha hai
KHair ye Dar to bachpan ka hissa hue be-murawwat shanasa se chehron ka Dar hai abhi bhi
mere andar ka sahma sa bachcha wo diwar-e-kaba abhi DhunDhta hai ki jis mein aman thi
aaj daftar salamat hai bazar-o-kuche ki raunaq wahi hai
wo diwar-e-kaba magar ab nahin hai
main nowember ke us sard din mein TheThurta hun ab bhi ki jab tu akela mujhe kar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.