diwar-e-qahqaha
dekho dekho!!
uupar se nīche tak dekho
aage se pīchhe tak dekho
jañgal aur pahāḌ se le kar
ghar ke bāġhīche tak dekho
chiḌiyā baaz humā aur qaqnus
har panchhī kī bīnā.ī se
hadd-e-falak kī pahnā.ī se
uḌte ġhalīche tak dekho
shahroñ meñ dehāt meñ dekho
din meñ dekho raat meñ dekho
rastoñ kī atrāf meñ dekho
gadle meñ shaffāf meñ dekho
andar dekho bāhar dekho
poshīda yā zāhir dekho
duniyā kī auqāt meñ dekho
apnī apnī zaat meñ dekho
dekho dekho!!
us nā-dīd ko har-sū dekho
kuchh bhī nazar na aa.e jab to
ik tajrīd ko har-sū dekho
aur dekhte dekhte ḳhuub hañso!!
dekho dekho!!
upar se niche tak dekho
aage se pichhe tak dekho
jangal aur pahaD se le kar
ghar ke baghiche tak dekho
chiDiya baz huma aur qaqnus
har panchhi ki binai se
hadd-e-falak ki pahnai se
uDte ghaliche tak dekho
shahron mein dehat mein dekho
din mein dekho raat mein dekho
raston ki atraf mein dekho
gadle mein shaffaf mein dekho
andar dekho bahar dekho
poshida ya zahir dekho
duniya ki auqat mein dekho
apni apni zat mein dekho
dekho dekho!!
us na-did ko har-su dekho
kuchh bhi nazar na aae jab to
ek tajrid ko har-su dekho
aur dekhte dekhte KHub hanso!!
- Book : Malbey sey mili cheezein (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.