diwar qahqaha
idhar na aao
ki ye mahal ab shikast-e-shaukat kī dāstāñ hai
ki ye mahal ab shikast-e-aqdār kā nishāñ hai
ki ye mahal ab shikast-e-afkār kī fuġhāñ hai
udhar na dekho
ki ye khañDar hai jinnoñ kā bhūtoñ kā āstāñ hai
ki ye umañgoñ kī be-basī ki baḌī tavīl ek dāstāñ hai
ki ye hai maskan siyāh rātoñ kā har taraf bas dhuāñ dhuaa. Hai
udhar jhāñko
shikastā īñToñ kī in darāzoñ meñ chāñdnī bhī sisak rahī hai
añdherī rātoñ kī kaalī nāgin siyāhiyoñ meñ chamak rahī hai
kiran kiran ka lahū pi.e hai to mast hai aur bahakr rahī hai
jo pahle tum us mahal meñ aate
to rañg o naġhmā ke sail pur nuur se guzarte
to aarzū kī sharāb meñ Dūbte ubharte
rasīlī bāñhoñ meñ mīThe sapnoñ kī Duub kar kis sukūñ se marte
jo pahle us samt se guzarte
to ārzuoñ ke naġhma-e-dil nashīñ ko sunte
bahut hī rote aur āñsuoñ se ka.ī na.e ḳhvāb apne bunte
aur ek be-nām kaif-e-mastī meñ Dū bkar apne sar ko dhunte
jo pahle us dard ko khaTkāte
hasīñ ummīdoñ ke pāsbāñ tum ko rañg o bū kā payām dete
hare bhare sarv tum ko pariyoñ ke shāzāde kā naam dete
ya baam o dar hañs ke tum ko pariyoñ ke shāhzāde kā naam dete
aur ab jo aa.e. ho kyā milegā
nigār ḳhāna ujaḌ chukā hai vo saarī mahfil uḳhaḌ ga.ī hai
vo nik.hat aarzū bhī dīvānā vaar har-sū bhaTak rahī hai
amiiñ thī jo dard-e-bekarāñ ki vo aah ghaT ghaT ke mar chukī hai
aur ab yahāñ kis ko DhuñDte ho
yahāñ pe tum chīḳhte rahoge javāb koī nahīñ milega
yahāñ pe DhūñDte rahoge ye ḳhvāb koī nahīñ milegā
yahāñ pe sher o sharāb o chañg o raubāb koī nahīñ milegā
yahāñ pe kis ko bulā rahe ho
yahāñ tumhārī sadāo. ke ḳhol guuñj ban kar uḌā kareñge
vo khokhlī guuñj tum se pūchegaī aap yaañ aa ke kyā kareñge
Daro ge ḳhud apne saaye se tum to bhut tum par hañsā kareñge
udhar na aao
udhar na aao yahāñ pe tum aa ke kyā karoge
yahāñ pe bhūtoñ kā raqs dekhoge aur phir aap hī Daroge
Daroge aa kaale kā kaale sāyoñ kā raqs
dīvār kī darāzoñ se dekh kar tum bahut hañsoge
bahut hañsoge
ye ek dīvār-e-qahqahā
idhar na aao
ki ye mahal ab shikast-e-shaukat ki dastan hai
ki ye mahal ab shikast-e-aqdar ka nishan hai
ki ye mahal ab shikast-e-afkar ki fughan hai
udhar na dekho
ki ye khanDar hai jinnon ka bhuton ka aastan hai
ki ye umangon ki be-basi ki baDi tawil ek dastan hai
ki ye hai maskan siyah raaton ka har taraf bas dhuan dhua Hai
udhar jhanko
shikasta inTon ki in daraazon mein chandni bhi sisak rahi hai
andheri raaton ki kali nagin siyahiyon mein chamak rahi hai
kiran kiran ka lahu pie hai to mast hai aur bahakr rahi hai
jo pahle tum us mahal mein aate
to rang o naghma ke sail pur nur se guzarte
to aarzu ki sharab mein Dubte ubharte
rasili banhon mein miThe sapnon ki Dub kar kis sukun se marte
jo pahle us samt se guzarte
to aarzuon ke naghma-e-dil nashin ko sunte
bahut hi rote aur aansuon se kai nae KHwab apne bunte
aur ek be-nam kaif-e-masti mein Du bkar apne sar ko dhunte
jo pahle us dard ko khaTkate
hasin ummidon ke pasban tum ko rang o bu ka payam dete
hare bhare sarw tum ko pariyon ke shazade ka nam dete
ya baam o dar hans ke tum ko pariyon ke shahzade ka nam dete
aur ab jo aae ho kya milega
nigar KHana ujaD chuka hai wo sari mahfil uKHaD gai hai
wo nikhat aarzu bhi diwana war har-su bhaTak rahi hai
amin thi jo dard-e-bekaran ki wo aah ghaT ghaT ke mar chuki hai
aur ab yahan kis ko DhunDte ho
yahan pe tum chiKHte rahoge jawab koi nahin milega
yahan pe DhunDte rahoge ye KHwab koi nahin milega
yahan pe sher o sharab o chang o raubab koi nahin milega
yahan pe kis ko bula rahe ho
yahan tumhaari sadao ke KHol gunj ban kar uDa karenge
wo khokhli gunj tum se puchegai aap yan aa ke kya karenge
Daro ge KHud apne saye se tum to bhut tum par hansa karenge
udhar na aao
udhar na aao yahan pe tum aa ke kya karoge
yahan pe bhuton ka raqs dekhoge aur phir aap hi Daroge
Daroge aa kale ka kale sayon ka raqs
diwar ki daraazon se dekh kar tum bahut hansoge
bahut hansoge
ye ek diwar-e-qahqaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.