dikhawa
shikasta dīvār-o-dar pe sabza bahār ke raag alāptā hai
siyāh darzoñ meñ ghaas ke zard nīm-jāñ phuul hañs rahe haiñ
maiñ apnī vīrāñ ḳhizāñ-zada zindagī se begāna ho gayā huuñ
thirak rahī hai fasurda hoñToñ pe ik sakūñ-bār muskurāhaT
jo mujh ko mujh se chhupā rahī hai maiñ hañs rahā huuñ maiñ kho gayā huuñ
kisī ko hamvār sat.h kī tah meñ tund lahroñ kā kyā patā hai
shikasta diwar-o-dar pe sabza bahaar ke rag alapta hai
siyah darzon mein ghas ke zard nim-jaan phul hans rahe hain
main apni viran KHizan-zada zindagi se begana ho gaya hun
thirak rahi hai fasurda honTon pe ek sakun-bar muskurahaT
jo mujh ko mujh se chhupa rahi hai main hans raha hun main kho gaya hun
kisi ko hamwar sath ki tah mein tund lahron ka kya pata hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.