dil abhi
zindagī se uns hai
husn se lagāv hai
dhaḌkanoñ meñ aaj bhī
ishq kā alaav hai
dil abhī bujhā nahīñ
rañg bhar rahā huuñ maiñ
ḳhāka-e-hayāt meñ
aaj bhī huuñ munhamik
fikr-e-kā.enāt meñ
ġham abhī luTā nahīñ
harf-e-haq aziiz hai
zulm nāgavār hai
ahd-e-nau se aaj bhī
ahd-e-ustuvār hai
maiñ abhī marā nahīñ
zindagi se uns hai
husn se lagaw hai
dhaDkanon mein aaj bhi
ishq ka alaw hai
dil abhi bujha nahin
rang bhar raha hun main
KHaka-e-hayat mein
aaj bhi hun munhamik
fikr-e-kaenat mein
gham abhi luTa nahin
harf-e-haq aziz hai
zulm nagawar hai
ahd-e-nau se aaj bhi
ahd-e-ustuwar hai
main abhi mara nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 233)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.