dil
ai dil-e-betāb tujh meñ hai sifat sīmāb kī
tere qatroñ meñ haiñ kuchh būñdeñ sharāb-e-nāb kī
tere ā.īne se paidā hai mohabbat kā tilism
terī nairangī meñ poshīda hai hairat kā tilism
sāġhar-e-rangīñ meñ hai kasrat-numā.ī kī jhalak
terī maujoñ ne dikhā.ī hai ḳhudā.ī kī jhalak
naqsh-e-ulfat se numāyāñ ik nayā andāz hai
tū harīm-e-ishq hai yā jalva-gāh-e-nāz hai
tere hisse meñ azal ke din se hai ġham kī fazā
lā-makāñ par jā Thahartī hai tirī āh-e-rasā
tere iimā se hazāroñ ḳhānamāñ-barbād haiñ
tere vīrāne meñ lākhoñ hasrateñ ābād haiñ
kyoñ na ho tere talātum se samundar meñ sukūt
terī maujeñ inqilāb-e-dahr kā haiñ ik subūt
tarz-e-mastī-o-ḳhudī tere gale kā haar hai
tū vo miinā hai ki is se ik jahāñ sarshār hai
ai dil-e-betab tujh mein hai sifat simab ki
tere qatron mein hain kuchh bunden sharab-e-nab ki
tere aaine se paida hai mohabbat ka tilism
teri nairangi mein poshida hai hairat ka tilism
saghar-e-rangin mein hai kasrat-numai ki jhalak
teri maujon ne dikhai hai KHudai ki jhalak
naqsh-e-ulfat se numayan ek naya andaz hai
tu harim-e-ishq hai ya jalwa-gah-e-naz hai
tere hisse mein azal ke din se hai gham ki faza
la-makan par ja Thaharti hai teri aah-e-rasa
tere ima se hazaron KHanaman-barbaad hain
tere virane mein lakhon hasraten aabaad hain
kyon na ho tere talatum se samundar mein sukut
teri maujen inqilab-e-dahr ka hain ek subut
tarz-e-masti-o-KHudi tere gale ka haar hai
tu wo mina hai ki is se ek jahan sarshaar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.