dil-e-mayus
dil-e-māyūs batā ai dil-e-nākām batā
mubtalā-e-sitam-e-gardish-e-ayyām batā
jī ke maiñ kyā karūñ duniyā meñ mirā kaam hai kyā
ḳhuun ummīd kā hotā hai sar-e-bazm-e-tarab
ban gayā hausla ġham hī musībat kā sabab
jī ke maiñ kyā karūñ duniyā meñ mirā kaam hai kyā
dard baḌh jaa.e agar chāragarī kaun kare
hai kaThin rāh-e-vafā rāhbarī kaun kare
jī ke maiñ kyā karūñ duniyā meñ mirā kaam hai kyā
gulshan-e-shauq meñ kāñToñ ke sivā kuchh na milā
haa.e duniyā meñ vafāoñ kā sila kuchh na milā
jī ke maiñ kyā karūñ duniyā meñ mirā kaam hai kyā
justujū kis kī hai 'nāshād' koī kyā jaane
kyoñ dil-e-zār hai barbād koī kyā jaane
jī ke maiñ kyā karūñ duniyā meñ mirā kaam hai kyā
dil-e-mayus bata ai dil-e-nakaam bata
mubtala-e-sitam-e-gardish-e-ayyam bata
ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya
KHun ummid ka hota hai sar-e-bazm-e-tarab
ban gaya hausla gham hi musibat ka sabab
ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya
dard baDh jae agar chaaragari kaun kare
hai kaThin rah-e-wafa rahbari kaun kare
ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya
gulshan-e-shauq mein kanTon ke siwa kuchh na mila
hae duniya mein wafaon ka sila kuchh na mila
ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya
justuju kis ki hai 'nashad' koi kya jaane
kyon dil-e-zar hai barbaad koi kya jaane
ji ke main kya karun duniya mein mera kaam hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.