dil-e-man musafir-e-man
mire dil, mire musāfir
huā phir se hukm sādir
ki vatan-badar hoñ ham tum
deñ galī galī sadā.eñ
kareñ ruḳh nagar nagar, kā
ki surāġh koī paa.eñ
kisī yār-e-nāma-bar kā
har ik ajnabī se pūchheñ
jo patā thā apne ghar kā
sar-e-kū-e-nā-shanāyāñ
hameñ din se raat karnā
kabhī is se baat karnā
kabhī us se baat karnā
tumheñ kyā kahūñ ki kyā hai
shab-e-ġham burī balā hai
hameñ ye bhī thā ġhanīmat
jo koī shumār hotā
hameñ kyā burā thā marnā
agar ek baar hotā!
mere dil, mere musafir
hua phir se hukm sadir
ki watan-badar hon hum tum
den gali gali sadaen
karen ruKH nagar nagar, ka
ki suragh koi paen
kisi yar-e-nama-bar ka
har ek ajnabi se puchhen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-ku-e-na-shanayan
hamein din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhein kya kahun ki kya hai
shab-e-gham buri bala hai
hamein ye bhi tha ghanimat
jo koi shumar hota
hamein kya bura tha marna
agar ek bar hota!
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 613)
- Author : faiz ahmad faiz
- Publication : educational publishing house (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.