dil-e-safi
dil-e-sāfī ye ho ai 'mehr' ḳhudā kī rahmat
maiñ ne mahsūs kiyā hai bahut ārām yahāñ
gosha-e-āfat us ko kahīñ to zebā hai
kaisī taskīn kā hai kaise sukūñ kā ye makāñ
is tarah shahar se kuchh duur koī ma.abad ho
shāra-e-ām se haT kar ki na ho bhiiḌ vahāñ
koī jaa.e bhī jo us jā to irāda kar ke
ye na ho har kas-o-nā-kas ho vahāñ gasht-kunāñ
jaa.e tanhā ho makāñ gosha-e-uzlat sā ho
jis taraf dekho nazar aa.e ḳhamoshī kā samāñ
sāya-e-afgan huuñ kuhan saal daraḳht us jā par
aisī ThanDak ho ki bas aa.e vahāñ jaan meñ jaan
sahn meñ āb-e-musaffā paḌā hauz bhī ho
aur vo aisā maskan ki na ho jis kā bayāñ
girah meñ huuñ rausheñ besh-bahā patthar kī
saaf aisī ki na ratankā bhī nazar aa.e vahāñ
sāmne aañkh ke ma.abad kā ho burj-e-sañgīñ
jis kī ta.amīr ko barsoñ hue hoñ yā sadiyāñ
ġharaz aisā ho makāñ aur to vaañ baiThā ho
aur ḳhamoshī o sukūñ chaar taraf se ho ayaañ
tū vahāñ baiThā ho ārām se aur tere sivā
ādmī-zād kā DhūñDhe na nazar aa.e nishāñ
dekh kar aañkh meñ nuur tabī.at meñ surūr
to ye samjhe ki zamīñ par hai yahī bāġh-e-jināñ
hai yahī haal jo dekho to dil saafī kā
vahī taskīn-o-sukūñ aur vahī rāhat hai yahāñ
vahī ThanDak hai vahī nūr-o-surūr-o-maufūr
hai yahāñ bhī vahī taskīn-o-ḳhamoshī kā samāñ
maiñ yahāñ baiTh ke ai 'mehr' maze letā huuñ
aur samajhtā huuñ zamīñ par hai yahī bāġh-e-jināñ
dil-e-safi ye ho ai 'mehr' KHuda ki rahmat
main ne mahsus kiya hai bahut aaram yahan
gosha-e-afat us ko kahin to zeba hai
kaisi taskin ka hai kaise sukun ka ye makan
is tarah shahar se kuchh dur koi mabad ho
shaara-e-am se haT kar ki na ho bhiD wahan
koi jae bhi jo us ja to irada kar ke
ye na ho har kas-o-na-kas ho wahan gasht-kunan
jae tanha ho makan gosha-e-uzlat sa ho
jis taraf dekho nazar aae KHamoshi ka saman
saya-e-afgan hun kuhan sal daraKHt us ja par
aisi ThanDak ho ki bas aae wahan jaan mein jaan
sahn mein aab-e-musaffa paDa hauz bhi ho
aur wo aisa maskan ki na ho jis ka bayan
girah mein hun raushen besh-baha patthar ki
saf aisi ki na ratanka bhi nazar aae wahan
samne aankh ke mabad ka ho burj-e-sangin
jis ki tamir ko barson hue hon ya sadiyan
gharaz aisa ho makan aur to wan baiTha ho
aur KHamoshi o sukun chaar taraf se ho ayan
tu wahan baiTha ho aaram se aur tere siwa
aadmi-zad ka DhunDhe na nazar aae nishan
dekh kar aankh mein nur tabiat mein surur
to ye samjhe ki zamin par hai yahi bagh-e-jinan
hai yahi haal jo dekho to dil safi ka
wahi taskin-o-sukun aur wahi rahat hai yahan
wahi ThanDak hai wahi nur-o-surur-o-maufur
hai yahan bhi wahi taskin-o-KHamoshi ka saman
main yahan baiTh ke ai 'mehr' maze leta hun
aur samajhta hun zamin par hai yahi bagh-e-jinan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.