dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar
pahle to husn-e-amal husn-e-yaqīñ paidā kar
phir isī ḳhaak se firdaus-e-barīñ paidā kar
yahī duniyā ki jo but-ḳhāna banī jaatī hai
isī but-ḳhāne se ka.abe kī zamīñ paidā kar
rūh-e-ādam nigarāñ kab se hai terī jānib
uTh aur ik jannat-e-jāved yahīñ paidā kar
ḳhas-o-ḳhāshāk-e-tavahhum ko jalā kar rakh de
ya.anī ātish-kada-e-soz-e-yaqīñ paidā kar
ġham mayassar hai to is ko ġham-e-kaunain banā
dil hasīñ hai to mohabbat bhī hasīñ paidā kar
āsmāñ markaz-e-taḳh.īl-o-tasavvur kab tak
āsmāñ jis se ḳhajil ho vo zamīñ paidā kar
dil ke har qatre meñ tūfān-e-tajallī bhar de
batn-e-har-zarra se ik mahr-e-mubīñ paidā kar
bandagī yuuñ to hai insān kī fitrat lekin
naaz jis pe kareñ sajde vo jabīñ paidā kar
pastī-e-ḳhāk pe kab tak tirī be-bāl-o-parī
phir maqām apnā sar-e-arsh-e-barīñ paidā kar
ishq hī zinda o pā.inda haqīqat hai 'jigar'
ishq ko aam banā zauq-e-yaqīñ paidā kar
pahle to husn-e-amal husn-e-yaqin paida kar
phir isi KHak se firdaus-e-barin paida kar
yahi duniya ki jo but-KHana bani jati hai
isi but-KHane se kabe ki zamin paida kar
ruh-e-adam nigaran kab se hai teri jaanib
uTh aur ek jannat-e-jawed yahin paida kar
KHas-o-KHashak-e-tawahhum ko jala kar rakh de
yani aatish-kada-e-soz-e-yaqin paida kar
gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain bana
dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar
aasman markaz-e-taKHil-o-tasawwur kab tak
aasman jis se KHajil ho wo zamin paida kar
dil ke har qatre mein tufan-e-tajalli bhar de
batn-e-har-zarra se ek mahr-e-mubin paida kar
bandagi yun to hai insan ki fitrat lekin
naz jis pe karen sajde wo jabin paida kar
pasti-e-KHak pe kab tak teri be-baal-o-pari
phir maqam apna sar-e-arsh-e-barin paida kar
ishq hi zinda o painda haqiqat hai 'jigar'
ishq ko aam bana zauq-e-yaqin paida kar
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 186)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.