dil ek kuTiya dasht kinare
duniyā-bhar se duur ye nagrī
nagrī duniyā-bhar se nirālī
andar armānoñ kā mela
bāhar se dekho to ḳhālī
ham haiñ is kuTiyā ke jogī
ham haiñ is nagrī ke vaalī
ham ne taj rakkhā hai zamānā
tum aanā to tanhā aanā
dil ik kuTiyā dasht kināre
bastī kā sā haal nahīñ hai
mukhiyā piir prohit payāde
in sab kā janjāl nahīñ hai
nā baniye na seTh na Thākur
paiñTh nahīñ chaupāl nahīñ hai
sonā ruupā chaukī masnad
ye bhī māl-manāl nahīñ hai
lekin ye jogī dil vaalā
ai gorī kañgāl nahīñ hai
chāho jo chāhat kā ḳhazānā
tum aanā aur tanhā aanā
aahū māñge ban kā ramnā
bhañvrā chāhe phuul kī Daalī
sūkhe khet kī koñpal māñge
ik ghanghor badriyā kaalī
dhuup jale kahīñ saaya chāheñ
andhī rāteñ diip divālī
ham kyā māñgeñ ham kyā chāheñ
hoñT sile aur jholī ḳhālī
dil bhañvrā na phuul na koñpal
bagiyā nā bagiyā kā maalī
dil aahū na dhuup na saayā
dil kī apnī baat nirālī
dil to kisī darshan kā bhūkā
dil to kisī darshan kā savālī
naam liye bin paḌā pukāre
kise pukāre dasht kināre
ye to ik duniyā ko chāheñ
in ko kis ne apnā jaanā
aur to sab logoñ ke Thikāne
ab bhaTkeñ to aap hī bhaTkeñ
chhoḌā duniyā ko bhaTkānā
giit kabat aur nazmeñ ġhazleñ
ye sab in kā maal purānā
jhūTī bāteñ sachchī bāteñ
biitī bāteñ kyā dohrānā
ab to gorī na.e sire se
añdhiyāroñ meñ diip jalānā
majbūrī? kaisī majbūrī
aanā ho to laakh bahānā
aanā is kuTiyā ke dvāre
dil ik kuTiyā dasht kināre
duniya-bhar se dur ye nagri
nagri duniya-bhar se nirali
andar armanon ka mela
bahar se dekho to KHali
hum hain is kuTiya ke jogi
hum hain is nagri ke wali
hum ne taj rakkha hai zamana
tum aana to tanha aana
dil ek kuTiya dasht kinare
basti ka sa haal nahin hai
mukhiya pir prohit payaade
in sab ka janjal nahin hai
na baniye na seTh na Thakur
painTh nahin chaupal nahin hai
sona rupa chauki masnad
ye bhi mal-manal nahin hai
lekin ye jogi dil wala
ai gori kangal nahin hai
chaho jo chahat ka KHazana
tum aana aur tanha aana
aahu mange ban ka ramna
bhanwra chahe phul ki Dali
sukhe khet ki konpal mange
ek ghanghor badriya kali
dhup jale kahin saya chahen
andhi raaten dip diwali
hum kya mangen hum kya chahen
honT sile aur jholi KHali
dil bhanwra na phul na konpal
bagiya na bagiya ka mali
dil aahu na dhup na saya
dil ki apni baat nirali
dil to kisi darshan ka bhuka
dil to kisi darshan ka sawali
nam liye bin paDa pukare
kise pukare dasht kinare
ye to ek duniya ko chahen
in ko kis ne apna jaana
aur to sab logon ke Thikane
ab bhaTken to aap hi bhaTken
chhoDa duniya ko bhaTkana
git kabat aur nazmen ghazlen
ye sab in ka mal purana
jhuTi baaten sachchi baaten
biti baaten kya dohrana
ab to gori nae sire se
andhiyaron mein dip jalana
majburi? kaisi majburi
aana ho to lakh bahana
aana is kuTiya ke dware
dil ek kuTiya dasht kinare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.