dil
dil vo sahrā thā
ki jis sahrā meñ
hasrateñ
ret ke Tīloñ kī tarah rahtī thiiñ
jab havādis kī havā
un ko miTāne ke liye
chaltī thī
yahāñ miTtī thiiñ
kahīñ aur ubhar aatī thiiñ
shakl khote hī
na.ī shakl meñ Dhal jaatī thiiñ
dil ke sahrā pe magar ab kī baar
sāneha guzrā kuchh aisā
ki sunā.e na bane
āñdhī vo aa.ī ki saare Tiile
aise bikhre
ki kahīñ aur ubhar hī na sake
yuuñ miTe haiñ
ki kahīñ aur banā.e na bane
ab kahīñ
Tiile nahīñ
ret nahīñ
ret kā zarra nahīñ
dil meñ ab kuchh nahīñ
dil ko sahrā bhī agar kahiye
to kaise kahiye
dil wo sahra tha
ki jis sahra mein
hasraten
ret ke Tilon ki tarah rahti thin
jab hawadis ki hawa
un ko miTane ke liye
chalti thi
yahan miTti thin
kahin aur ubhar aati thin
shakl khote hi
nai shakl mein Dhal jati thin
dil ke sahra pe magar ab ki bar
saneha guzra kuchh aisa
ki sunae na bane
aandhi wo aai ki sare Tile
aise bikhre
ki kahin aur ubhar hi na sake
yun miTe hain
ki kahin aur banae na bane
ab kahin
Tile nahin
ret nahin
ret ka zarra nahin
dil mein ab kuchh nahin
dil ko sahra bhi agar kahiye
to kaise kahiye
- Book : Lava (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.