dil ka phailaw
dil kā phailāv to zamīn kā phailāv hai
gandum phal shīsham aur paanī
phir laḌkī aur havā meñ
naġhma dil ke parindoñ kā
in zindoñ kā jo ġhair-munāfā-baḳhsh zamīn pe rahte haiñ
paanī shīsham bachcha laḌkī tez havā aur phal meñ
ḳhvāb hai sub.h-e-sādiq kā
un auratoñ kā jo dūsroñ kī marzī se byāhī jaatī haiñ
un bosoñ kā
jo gaaḌī kī siiTī se Dar jaate haiñ
shahr meñ kaun hai
jis ne aañkh meñ dariyā
dil meñ samundar
dekhā aur taslīm kiyā hai
dil kā phailāv to zamīn kā phailāv hai
jis meñ paanī shīsham gandum bachcha
laḌkī tez havā aur phal kī
rihā.ish-gāheñ haiñ
dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai
gandum phal shisham aur pani
phir laDki aur hawa mein
naghma dil ke parindon ka
in zindon ka jo ghair-munafa-baKHsh zamin pe rahte hain
pani shisham bachcha laDki tez hawa aur phal mein
KHwab hai subh-e-sadiq ka
un auraton ka jo dusron ki marzi se byahi jati hain
un boson ka
jo gaDi ki siTi se Dar jate hain
shahr mein kaun hai
jis ne aankh mein dariya
dil mein samundar
dekha aur taslim kiya hai
dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai
jis mein pani shisham gandum bachcha
laDki tez hawa aur phal ki
rihaish-gahen hain
- Book : meyaar (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.