dil ke kitne rup
dil hai vo aa.ina
rishtoñ kī chāñdnī
jis meñ rahtī sadā
jitnā dil saaf ho
rishte utne hī nikhre raheñge yahāñ
us chamakte hue shīshe par jo kabhī
baal ek aa gayā
TuuT jaa.e to juḌne na paa.e kabhī
dil hai ik phuul sā
jab mohabbat ko us meñ milegī jagah
har taraf ḳhushbū ban ke mahak jā.egā
dil to dariyā ke jaisā lage hai kabhī
jo ġhamoñ ko sahe aur
mohabbat kī kashtī chalātā rahe
dil to ma.asūm sā ek bachcha lage
jo kabhī zid meñ aa.e
kabhī maan jaa.e
kabhī maañ kī godī meñ sar ko chhupā.e
ḳhuub sapne sajā.e
dil hai wo aaina
rishton ki chandni
jis mein rahti sada
jitna dil saf ho
rishte utne hi nikhre rahenge yahan
us chamakte hue shishe par jo kabhi
baal ek aa gaya
TuT jae to juDne na pae kabhi
dil hai ek phul sa
jab mohabbat ko us mein milegi jagah
har taraf KHushbu ban ke mahak jaega
dil to dariya ke jaisa lage hai kabhi
jo ghamon ko sahe aur
mohabbat ki kashti chalata rahe
dil to masum sa ek bachcha lage
jo kabhi zid mein aae
kabhi man jae
kabhi man ki godi mein sar ko chhupae
KHub sapne sajae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.