dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga
dil-o-dimāġh ko ro lūñgā aah kar lūñgā
tumhāre ishq meñ sab kuchh tabāh kar lūñgā
agar mujhe na milīñ tum tumhāre sar kī qasam
maiñ apnī saarī javānī tabāh kar lūñgā
mujhe jo dair-o-haram meñ kahīñ jagah na milī
tire ḳhayāl hī ko sajda-gāh kar lūñgā
jo tum se kar diyā mahrūm āsmāñ ne mujhe
maiñ apnī zindagī sarf-e-gunāh kar lūñgā
raqīb se bhī milūñgā tumhāre hukm pe maiñ
jo ab talak na kiyā thā ab aah kar lūñgā
tumhārī yaad meñ maiñ kaaT dūñgā hashr se din
tumhāre hijr meñ rāteñ siyāh kar lūñgā
savāb ke liye ho jo gunah vo ain savāb
ḳhudā ke naam pe bhī ik gunāh kar lūñgā
harīm-e-hazrat-e-salmā kī samt jaatā huuñ
huā na zabt to chupke se aah kar lūñgā
ye nau-bahār ye abrū, havā ye rañg sharāb
chalo jo ho so ho ab to gunāh kar lūñgā
kisī hasīne ke ma.asūm ishq meñ 'aḳhtar'
javānī kyā hai maiñ sab kuchh tabāh kar lūñgā
dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga
tumhaare ishq mein sab kuchh tabah kar lunga
agar mujhe na milin tum tumhaare sar ki qasam
main apni sari jawani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili
tere KHayal hi ko sajda-gah kar lunga
jo tum se kar diya mahrum aasman ne mujhe
main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga
raqib se bhi milunga tumhaare hukm pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga
tumhaari yaad mein main kaT dunga hashr se din
tumhaare hijr mein raaten siyah kar lunga
sawab ke liye ho jo gunah wo ain sawab
KHuda ke nam pe bhi ek gunah kar lunga
harim-e-hazrat-e-salma ki samt jata hun
hua na zabt to chupke se aah kar lunga
ye nau-bahaar ye abru, hawa ye rang sharab
chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga
kisi hasine ke masum ishq mein 'aKHtar'
jawani kya hai main sab kuchh tabah kar lunga
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 280)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.