Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pit ki aag mein jalta hai

Ibn e Insha

dil pit ki aag mein jalta hai

Ibn e Insha

dil piit aag meñ jaltā hai haañ jaltā rahe use jalne do

is aag se logo duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo

ham raat dinā yuuñ ghulte raheñ koī pūchhe ki ham ko pūchhe

koī sājan ho dushman ho tum zikr kisī mat chheḌo

sab jaan ke sapne dekhte haiñ sab jaan ke dhoke khāte haiñ

ye dīvāne saada sahī par itne bhī saada nahīñ yaaro

kis baiThī tapish ke mālik haiñ ThiThurī huī aag ke añgiyāre

tum ne kabhī señkā nahīñ tum kyā samjho tum kyā jaano

dil piit aag meñ jaltā hai haañ jaltā hai ise jalne do

is aag se tum to duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo

har mahfil meñ ham donoñ kyā kyā nahīñ bāteñ hotī haiñ

in bātoñ mafhūm hai kyā tum kyā samjho tum kyā jaano

dil chal ke laboñ tak aa na sakā lab khul na sake ġham na sakā

apnā to bas itnā qissa thā tum apnī sunāo apnī kaho

vo shaam kahāñ vo raat kahāñ vo vaqt kahāñ vo baat kahāñ

jab marte the marne na diyā ab jiite haiñ ab jiine do

dil piit aag meñ jaltā hai haañ jaltā rahe ise jalne do

is aag se 'inshā' duur raho ThanDī na karo pañkhā na jhalo

logoñ to bāteñ sachchī haiñ aur dil bhī kahnā karnā huā

par baat hamārī maano to un ke bano apne raho

raahī bhī nahīñ rahzan bhī nahīñ bijlī bhī nahīñ ḳhirman bhī nahīñ

aisā bhī bhalā hotā hai kahīñ tum bhī to ajab dīvāne ho

is khel meñ har baat apnī kahāñ jiit apnī kahāñ maat apnī kahāñ

khel se yaksar uTh jaao jaatī baazī jaane do

dil piit aag meñ jaltā hai

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe use jalne do

is aag se logo dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

hum raat dina yun hi ghulte rahen koi puchhe ki hum ko na puchhe

koi sajan ho ya dushman ho tum zikr kisi ka mat chheDo

sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khate hain

ye diwane sada hi sahi par itne bhi sada nahin yaro

kis baiThi tapish ke malik hain ThiThuri hui aag ke angiyare

tum ne kabhi senka hi nahin tum kya samjho tum kya jaano

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta hai ise jalne do

is aag se tum to dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

har mahfil mein hum donon ki kya kya nahin baaten hoti hain

in baaton ka mafhum hai kya tum kya samjho tum kya jaano

dil chal ke labon tak aa na saka lab khul na sake gham ja na saka

apna to bas itna qissa tha tum apni sunao apni kaho

wo sham kahan wo raat kahan wo waqt kahan wo baat kahan

jab marte the marne na diya ab jite hain ab jine do

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe ise jalne do

is aag se 'insha' dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

logon ki to baaten sachchi hain aur dil ka bhi kahna karna hua

par baat hamari mano to ya un ke bano ya apne raho

rahi bhi nahin rahzan bhi nahin bijli bhi nahin KHirman bhi nahin

aisa bhi bhala hota hai kahin tum bhi to ajab diwane ho

is khel mein har baat apni kahan jit apni kahan mat apni kahan

ya khel se yaksar uTh jao ya jati bazi jaane do

dil pit ki aag mein jalta hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now