dildar dekhna
tūfāñ ba-dil hai har koī dildār dekhnā
gul ho na jaa.e mish.al-e-ruḳhsār dekhnā
ātish ba-jāñ hai har koī sarkār dekhnā
lau de uThe na turra-e-tarrār dekhnā
jazb-e-musāfirān-e-rah-e-yār dekhnā
sar dekhnā, na sañg, na dīvār dekhnā
kū-e-jafā meñ qaht-e-ḳharīdār dekhnā
ham aa ga.e to garmi-e-bāzār dekhnā
us dil-navāz shahr ke atvār dekhnā
be iltifāt bolnā, bezār dekhnā
ḳhālī haiñ garche masnad o mimbar, nigūñ hai ḳhalq
ro.ab-e-qabā o haibat-e-dastār dekhnā
jab tak nasīb thā tirā dīdār dekhnā
jis samt dekhnā, gul-o-gulzār dekhnā
phir ham tamīz-e-roz-o-mah-o-sāl kar sakeñ
ai yād-e-yār phir idhar ik baar dekhnā
tufan ba-dil hai har koi dildar dekhna
gul ho na jae mishal-e-ruKHsar dekhna
aatish ba-jaan hai har koi sarkar dekhna
lau de uThe na turra-e-tarrar dekhna
jazb-e-musafiran-e-rah-e-yar dekhna
sar dekhna, na sang, na diwar dekhna
ku-e-jafa mein qaht-e-KHaridar dekhna
hum aa gae to garmi-e-bazar dekhna
us dil-nawaz shahr ke atwar dekhna
be iltifat bolna, bezar dekhna
KHali hain garche masnad o mimbar, nigun hai KHalq
roab-e-qaba o haibat-e-dastar dekhna
jab tak nasib tha tera didar dekhna
jis samt dekhna, gul-o-gulzar dekhna
phir hum tamiz-e-roz-o-mah-o-sal kar saken
ai yaad-e-yar phir idhar ek bar dekhna
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 431)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.