dilli dangon ke beach
dharm ke naam pe qātil kī himāyat karnā
aur phir mulk ke jalne kī shikāyat karnā
kitnā āsān hai hindū-o-musalmāñ honā
sirf mushkil hai kisī shaḳhs kā insāñ honā
zulm kī dhūp-o-imkāñ bhī nahīñ chhāñv kā
ek sā haal hai ab gaañv kā sahrāoñ kā
aise hālāt meñ āñkhoñ meñ lahū ko laao
naġhma-e-ishq ko sab zor se gaao gaao
koī bhī daaġh na nafrat kā jabīñ par aa.e
bādshāh bahrā hai ab zor se chīḳhā jaa.e
dharm ke nam pe qatil ki himayat karna
aur phir mulk ke jalne ki shikayat karna
kitna aasan hai hindu-o-musalman hona
sirf mushkil hai kisi shaKHs ka insan hona
zulm ki dhup-o-imkan bhi nahin chhanw ka
ek sa haal hai ab ganw ka sahraon ka
aise haalat mein aankhon mein lahu ko lao
naghma-e-ishq ko sab zor se gao gao
koi bhi dagh na nafrat ka jabin par aae
baadshah bahra hai ab zor se chiKHa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.