dilli ki galiyan tin manzar
pahlā manzar
san unnīs sau aḌtīs hai
sardī kī ThiThurī rāteñ haiñ
raat ke koī aaTh baje haiñ
aaj ye sab guzrī bāteñ haiñ
morī darvāze ke bāhar
nashe meñ dhut faujī gore
añgrezī sarkār ke chhore
tāñge vāloñ ko piiT rahe haiñ
tāñge vaale ghabrā ghabrā kar
idhar-udhar sab bhaag rahe haiñ
aur sipāhī aañkh churā kar
dūsrī jānib dekh rahe haiñ
chalte chalte raah meñ ruk kar
maiñ ye manzar dekh rahā huuñ
dūsrā manzar
fat.h-purī masjid ke aage
chandni-chowk kā lambā rasta
lāl-qil.e tak le jaatā hai
haath meñ thāme apnā basta
maiñ maktab kī samt ravāñ huuñ
shāhjahāñ ke lāl-qil.e par
goroñ kā pahrā baiThā hai
chandni-chowk meñ dā.eñ-bā.eñ
galiyoñ kūchoñ bāzāroñ meñ
bijlī ke khamboñ par har-sū
Dheroñ laḌke chaḌhe hue haiñ
aur tāroñ ko kaaT rahe haiñ
police golī chalā rahī hai
chalte chalte raah meñ ruk kar
maiñ ye manzar dekh rahā huuñ
tīsrā manzar
gore london chale ga.e haiñ
māñgeñ puurī ho ga.iiñ aaj
netā rāh-numā sab ḳhush haiñ
mulk ne paayā hai svārāj
lāl-qil.e par āzādī kā
sah-rañgā parcham lahrāyā
dillī kī galiyoñ meñ sab ne
āzādī kā jashn manāyā
lekin ekā-ekī jaise
parda uTThā manzar badlā
dhuñd sī chhā.ī hai har jānib
jo kuchh hai sab gadlā gadlā
koī nahīñ suntā hai kisī kī
ho ga.e log achānak bahre
railoñ meñ be-sar kī lāsheñ
saḌkoñ par be-dhaḌ ke chehre
harījan bastī kī kuTiyā meñ
ḳhuun se lat-pat lahūluhān
kuTiyā jaise ik shamshān
gāñdhī jī kī laash paḌī hai
āzādī kuchh duur khaḌī hai
pahla manzar
san unnis sau aDtis hai
sardi ki ThiThuri raaten hain
raat ke koi aaTh baje hain
aaj ye sab guzri baaten hain
mori darwaze ke bahar
nashe mein dhut fauji gore
angrezi sarkar ke chhore
tange walon ko piT rahe hain
tange wale ghabra ghabra kar
idhar-udhar sab bhag rahe hain
aur sipahi aankh chura kar
dusri jaanib dekh rahe hain
chalte chalte rah mein ruk kar
main ye manzar dekh raha hun
dusra manzar
fath-puri masjid ke aage
chandni-chowk ka lamba rasta
lal-qile tak le jata hai
hath mein thame apna basta
main maktab ki samt rawan hun
shahjahan ke lal-qile par
goron ka pahra baiTha hai
chandni-chowk mein daen-baen
galiyon kuchon bazaron mein
bijli ke khambon par har-su
Dheron laDke chaDhe hue hain
aur taron ko kaT rahe hain
police goli chala rahi hai
chalte chalte rah mein ruk kar
main ye manzar dekh raha hun
tisra manzar
gore london chale gae hain
mangen puri ho gain aaj
neta rah-numa sab KHush hain
mulk ne paya hai swaraj
lal-qile par aazadi ka
sah-ranga parcham lahraya
dilli ki galiyon mein sab ne
aazadi ka jashn manaya
lekin eka-eki jaise
parda uTTha manzar badla
dhund si chhai hai har jaanib
jo kuchh hai sab gadla gadla
koi nahin sunta hai kisi ki
ho gae log achanak bahre
railon mein be-sar ki lashen
saDkon par be-dhaD ke chehre
harijan basti ki kuTiya mein
KHun se lat-pat lahuluhan
kuTiya jaise ek shamshan
gandhi ji ki lash paDi hai
aazadi kuchh dur khaDi hai
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 433)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.