Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilli pe qurban

Izhaar Malihabadi

dilli pe qurban

Izhaar Malihabadi

MORE BYIzhaar Malihabadi

    bahār-e-be-ḳhizāñ dillī pe qurbāñ

    nishāt-e-jāvedāñ dillī pe qurbāñ

    shamīm-e-gulsitāñ dillī pe qurbāñ

    zamīn-o-āsmāñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    yahāñ har ḳhaar sarv-o-yāsman hai

    yahāñ har jaada āġhosh-e-chaman hai

    yahāñ har zarra sūrat kiran hai

    nujūm-o-kahkashāñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    mahaktī vādiyāñ rañgīñ nazāre

    nazāroñ meñ mohabbat ke ishāre

    suhānī sub.h jamunā ke kināre

    ḳhum-e-āb-e-ravāñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    vo ThanDī raat vo aariz vo gesū

    fazā meñ pur-fishāñ sāñsoñ ḳhushbū

    nashīlī karvaTeñ maḳhmūr pahlū

    sharāb-e-arġhavāñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    salone hoñT aur va.ade suhāne

    nigah ma.asūm aur kamsin nishāne

    mahakte jism ḳhushbū ke ḳhazāne

    chaman-zār-e-jināñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    mire ahd-e-mohabbat nishānī

    salonī sāñvlī gul-rañg dhānī

    yahāñ gum ho ga.ī merī javānī

    dil-e-kaun-o-makāñ dillī pe qurbāñ

    mirā dil merī jaañ dillī pe qurbāñ

    bahaar-e-be-KHizan dilli pe qurban

    nishat-e-jawedan dilli pe qurban

    shamim-e-gulsitan dilli pe qurban

    zamin-o-asman dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    yahan har KHar sarw-o-yasman hai

    yahan har jada aaghosh-e-chaman hai

    yahan har zarra surat ki kiran hai

    nujum-o-kahkashan dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    mahakti wadiyan rangin nazare

    nazaron mein mohabbat ke ishaare

    suhani subh jamuna ke kinare

    KHum-e-ab-e-rawan dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    wo ThanDi raat wo aariz wo gesu

    faza mein pur-fishan sanson ki KHushbu

    nashili karwaTen maKHmur pahlu

    sharab-e-arghawan dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    salone honT aur wade suhane

    nigah masum aur kamsin nishane

    mahakte jism KHushbu ke KHazane

    chaman-zar-e-jinan dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    mere ahd-e-mohabbat ki nishani

    saloni sanwli gul-rang dhani

    yahan gum ho gai meri jawani

    dil-e-kaun-o-makan dilli pe qurban

    mera dil meri jaan dilli pe qurban

    Source :
    • Naye Tarane
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now