dimagh le lo
dimāġh le lo dimāġh le lo
baḌī hī mehnat se parvarish kī hai sālahā saal lag chuke haiñ
dimāġh ko ilm-o-fan diyā aur
zehn ko pākīzgī atā kī
samajhnā aur sochnā sikhāyā
shu.ūr baḳhshā dimāġh ko āgahī atā kī
hisāb jaane kitāb jaane
paḌhā likhā hai
dimāġh ke paas tajraba hai
dimāġh le lo
suno suno aap ke ye uljhe hue masā.il ko hal karegā
mirā ye da.avā hai aap kī zindagī nihāyat sahal karegā
zarā zarā kar ke sub.h se shaam tak maiñ kitnoñ ko bech aayā dimāġh apnā
mirā pasīna thā jis kā īñdhan vo sho.ala sho.ala charāġh apnā
ye raat kā kaun sā pahar hai
maiñ rāsta bhūlne lagā huuñ
ye saal kā āḳhirī hai mausam
maiñ ThanD se kapkapā rahā huuñ
dimagh le lo dimagh le lo
baDi hi mehnat se parwarish ki hai salaha sal lag chuke hain
dimagh ko ilm-o-fan diya aur
zehn ko pakizgi ata ki
samajhna aur sochna sikhaya
shuur baKHsha dimagh ko aagahi ata ki
hisab jaane kitab jaane
paDha likha hai
dimagh ke pas tajraba hai
dimagh le lo
suno suno aap ke ye uljhe hue masail ko hal karega
mera ye dawa hai aap ki zindagi nihayat sahal karega
zara zara kar ke subh se sham tak main kitnon ko bech aaya dimagh apna
mera pasina tha jis ka indhan wo shoala shoala charagh apna
ye raat ka kaun sa pahar hai
main rasta bhulne laga hun
ye sal ka aaKHiri hai mausam
main ThanD se kapkapa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.