din guzar jaega
hadd-e-idrāk se māvarā
manzil-e-ḳhāk tak
ek ārāsta
jhūmte-jhāmte asr se lamha-e-chāk tak
din guzar jā.egā
bas yūñhī din guzar jā.egā
niim ma.alūm sadiyoñ ke sīna-e-asrār ko
dā.era dā.era kholte kholte
apne chhabbīs barsoñ kā sonā
tire ġham kī mīzān par taulte taulte
din guzar jā.egā
bas yūñhī din guzar jā.egā
cash kī gintiyoñ phone kī ghanTiyoñ
gāhakoñ kī hama-vaqt takrār meñ
voucheroñ goshvāroñ zamīmoñ ke ambār meñ
din guzar jā.egā
bas yūñhī din guzar jā.egā
hadd-e-idrak se mawara
manzil-e-KHak tak
ek aarasta
jhumte-jhamte asr se lamha-e-chaak tak
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
nim malum sadiyon ke sina-e-asrar ko
daera daera kholte kholte
apne chhabbis barson ka sona
tere gham ki mizan par taulte taulte
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
cash ki gintiyon phone ki ghanTiyon
gahakon ki hama-waqt takrar mein
woucheron goshwaron zamimon ke ambar mein
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 125)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.