din guzarte ja rahe hain
ham bhī marte jā rahe haiñ
ba.ad tere
ham dukhoñ ke
āñsuoñ ke bād-o-bārāñ meñ
nihatte dil ke saath
be-panāhī rāstoñ par
paañv dharte jā rahe haiñ
din guzarte jā rahe haiñ
lamha lamha ḳhauf ke maare hue
raat din ke vasvasoñ meñ
kyā ḳhabar kyā biit jaa.e agle pal
is safar meñ zehn sochoñ ke thapeḌoñ
se hai shal
aur ham ḳhud hī se Darte jā rahe haiñ
din guzarte jā rahe haiñ
hum bhi marte ja rahe hain
baad tere
hum dukhon ke
aansuon ke baad-o-baran mein
nihatte dil ke sath
be-panahi raston par
panw dharte ja rahe hain
din guzarte ja rahe hain
lamha lamha KHauf ke mare hue
raat din ke waswason mein
kya KHabar kya bit jae agle pal
is safar mein zehn sochon ke thapeDon
se hai shal
aur hum KHud hi se Darte ja rahe hain
din guzarte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.