din ka karb
aur phir
sub.h ne lapeTe
dabīz ḳhvāboñ ke
narm bistar
din kī dukhtī ragoñ meñ utre
shadīd māyūsiyoñ ke
nashtar
simaT ke baiThe
alam kī Tahnī pe
par-burīda
shikasta-pā
aarzū ke taa.ir
vafā ke āñgan meñ
nā-tavāñ
ḳhasta-hāl
umīdoñ kī saañs ukhḌī
aur dīvār-o-dar pe
mañDlā.e
kīna-ḳhū
nafratoñ ke dil-char
shikasta lamhoñ ke kārvāñ
ziist ke
sho.ala-bār sahrā meñ
kāsa-e-dard le ke nikle
ki koī chashma mile
to ruuh kī tishnagī miTā.eñ
vagarna baḌhte raheñ
aarzū meñ
aur phir
subh ne lapeTe
dabiz KHwabon ke
narm bistar
din ki dukhti ragon mein utre
shadid mayusiyon ke
nashtar
simaT ke baiThe
alam ki Tahni pe
par-burida
shikasta-pa
aarzu ke tair
wafa ke aangan mein
na-tawan
KHasta-haal
umidon ki sans ukhDi
aur diwar-o-dar pe
manDlae
kina-KHu
nafraton ke dil-char
shikasta lamhon ke karwan
zist ke
shoala-bar sahra mein
kasa-e-dard le ke nikle
ki koi chashma mile
to ruh ki tishnagi miTaen
wagarna baDhte rahen
aarzu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.