raat ke phaile añdhere meñ koī saaya nahīñ
jhilmilāte hue kamzor sitāre ye kahe jaate haiñ
chāñd aa.egā to saa.e bhī chale ā.eñge
raat ke phaile añdhere meñ koī saaya nahīñ hotā hai
raat ik baat hai sadiyoñ kī ka.ī sadiyoñ kī
yā kisī pichhle janam kī hogī
raat ke phaile añdhere haiñ koī saaya na thā
raat kā phailā añdherā muhtāj
ik bhikārī thā usī pahlī kiran kā jo larazte hue aatī hai jagā detī hai
so.e sāyoñ ko uThā detī hai bedārī meñ
ziist ke hilte hue jhūmte āsār nazar aate haiñ
ziist se pahle magar baat koī aur hī thī
raat ke phaile añdhere meñ koī saaya na thā
chāñd ke aane pe saa.e aa.e
us ke bikhre hue gesū saa.e
laaj kī mīThī jhijak bhī saaya
aur bhī saa.e the halke gahre
kaalī āñkhoñ kī ghanerī palkeñ
apne āġhosh meñ sāyoñ ko liye baiThī thiiñ
aur un sāyoñ meñ mahsūs huā kartā thā
dil kā ġham dil kī ḳhalish dil kī tamannā har shai
ek saaya hai laraztā saaya
aur mujhe dekhne par us kī ghanerī chup-chāp
ek saaya hī nazar aatī thī
aisā ik saaya jo ḳhāmosh rahā kartā ho
aur use dekhte hī maiñ bhī to ik saaya hī ban jaatā thā
saaya ḳhāmosh rahā kartā hai
aur ik larzish-e-betāb ke hone pe bhī ḳhāmoshī hī
raah meñ merī ināñ-gīr huā kartī thī
us ke bikhre hue gesū saa.e
laaj kī mīThī jhijak bhī saaya
aur bhī saa.e the halke gahre
kaalī āñkhoñ kī ghanerī palkeñ
apne āġhosh meñ sāyoñ ko liye baiThī thiiñ
aur un sāyoñ meñ mahsūs huā kartā thā
dil kā ġham dil kī ḳhalish dil kī tamannā har shai
ek saaya hai laraztā saaya
aur mujhe dekhne par us kī ghanerī chup-chāp
ek saaya hī nazar aatī thī
aisā ik saaya jo ḳhāmosh rahā kartā ho
aur use dekhte hī maiñ bhī to ik saaya hī ban jaatā thā
saaya ḳhāmosh rahā kartā hai
aur ik larzish-e-betāb ke hone par bhī ḳhāmoshī hī
raah meñ merī ināñ-gīr huā kartī thī
sīdhā jaatā huā rasta bhī to ik saaya thā
us pe aate hue jaate hue insān tamām
dhuñdle saa.e the magar saa.e the
maiñ bhī jaatā huā aatā huā ik saaya thā
maiñ bhī ik saaya thā kis kā saaya
kis ke qadmoñ se lipaTte hue chup-chāp chalā jaatā thā
kah to duuñ dil meñ ye ġhamnāk ḳhayāl aatā hai
saaya ḳhāmosh rahā kartā hai
raat ke saa.e hī ḳhāmosh rahā karte haiñ
din ke saa.e to kahā karte haiñ
biitī lazzat kī kahānī se
aur mirī mastī bhī ab din kā hī ik saaya hai
jis ke ek kināre ko shuā sozāñ
apnī shiddat se jalāne pe miTāne pe tulī baiThī hai
kaash aa jaa.e ghaTā chhā.e ghaTā aur ban jaa.e
chaḌhte sūraj kā zavāl
chaḌhtā sūraj ye batā detā hai
baḌhte saa.e haiñ kisī ke ġhammāz
bahte bahte ye kahe jaate haiñ
raat ke jaage hue so.e hue uThe haiñ
dhuup khāte hue laTke laTke
jab koī pairahan āvezāñ
ek jhoñke se laraz uThtā hai
ham-navā.ī ko laraztā huā saaya bhī kahe jaatā hai
biitī lazzat kī kahānī sab se
biitī lazzat bhī mire vāste ik saaya hai
kisī sūraj ke tale aate hue bādal kā
sarsarāte hue jhoñke kī tarah aatā huā jaatā huā
bāteñ karne ko vo ik pal bhī nahīñ ruktā thā
din kā saaya thā use raat kī ik baat bhī ma.alūm na thī
raat ik baat hai sadiyoñ kī ka.ī sadiyoñ kī
aur ab din hai mujhe saa.e nazar aate haiñ
bolte saa.e nazar aate haiñ
jaane pahchāne haiñ phir bhī na.e mafhūm samjhāte haiñ samjhāte hī chale jaate haiñ
phir palaT aate haiñ
jaise maiñ jaatā thā aur jā ke palaT aatā thā
isī raste pe jo ik saaya thā
rāsta aaj bhī saaya hai magar ik nayā saaya hai
raah meñ ek makān
vo bhī saaya hai udāsī kā ghanerā sunsān
raah meñ aatī huī har mūrat
ek saaya hai chuḌail
huur kā us meñ koī aks nazar aatā nahīñ
dekhte hī jise maiñ kaañp uThā kartā huuñ
āñkhoñ meñ ḳhuun utar aatā hai
sāmne dhuñd sī chhā jaatī hai
dil dhaḌaktā hī chalā jaatā hai
aur maiñ dekhtā huuñ
saa.e milte hue ghulte hue kuchh bhuut se ban jaate haiñ
hinhināte hue hañste haiñ pukār uThte haiñ
dil meñ kyā dhyān yahī hai ab bhī
dil meñ kyā dhyān yahī hai ab bhī
saaya ḳhāmosh rahā kartā hai
dekh ham bolte haiñ bolte saa.e haiñ tamām
ham se bach tū kahāñ jā.egā
aur maiñ kaañp uThā kartā huuñ
aur vo bolte haiñ
kaañp uThā hai laraztā hai ye buzdil nākām
baat kartā hī nahīñ hai koī
ab bhī shāyad ye samajhtā hai larazte dil meñ
saaya ḳhāmosh rahā kartā hai
raat ke phaile andhere mein koi saya nahin
jhilmilate hue kamzor sitare ye kahe jate hain
chand aaega to sae bhi chale aaenge
raat ke phaile andhere mein koi saya nahin hota hai
raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki
ya kisi pichhle janam ki hogi
raat ke phaile andhere hain koi saya na tha
raat ka phaila andhera muhtaj
ek bhikari tha usi pahli kiran ka jo larazte hue aati hai jaga deti hai
soe sayon ko uTha deti hai bedari mein
zist ke hilte hue jhumte aasar nazar aate hain
zist se pahle magar baat koi aur hi thi
raat ke phaile andhere mein koi saya na tha
chand ke aane pe sae aae
us ke bikhre hue gesu sae
laj ki miThi jhijak bhi saya
aur bhi sae the halke gahre
kali aankhon ki ghaneri palken
apne aaghosh mein sayon ko liye baiThi thin
aur un sayon mein mahsus hua karta tha
dil ka gham dil ki KHalish dil ki tamanna har shai
ek saya hai larazta saya
aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap
ek saya hi nazar aati thi
aisa ek saya jo KHamosh raha karta ho
aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha
saya KHamosh raha karta hai
aur ek larzish-e-betab ke hone pe bhi KHamoshi hi
rah mein meri inan-gir hua karti thi
us ke bikhre hue gesu sae
laj ki miThi jhijak bhi saya
aur bhi sae the halke gahre
kali aankhon ki ghaneri palken
apne aaghosh mein sayon ko liye baiThi thin
aur un sayon mein mahsus hua karta tha
dil ka gham dil ki KHalish dil ki tamanna har shai
ek saya hai larazta saya
aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap
ek saya hi nazar aati thi
aisa ek saya jo KHamosh raha karta ho
aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha
saya KHamosh raha karta hai
aur ek larzish-e-betab ke hone par bhi KHamoshi hi
rah mein meri inan-gir hua karti thi
sidha jata hua rasta bhi to ek saya tha
us pe aate hue jate hue insan tamam
dhundle sae the magar sae the
main bhi jata hua aata hua ek saya tha
main bhi ek saya tha kis ka saya
kis ke qadmon se lipaTte hue chup-chap chala jata tha
kah to dun dil mein ye ghamnak KHayal aata hai
saya KHamosh raha karta hai
raat ke sae hi KHamosh raha karte hain
din ke sae to kaha karte hain
biti lazzat ki kahani se
aur meri masti bhi ab din ka hi ek saya hai
jis ke ek kinare ko shua sozan
apni shiddat se jalane pe miTane pe tuli baiThi hai
kash aa jae ghaTa chhae ghaTa aur ban jae
chaDhte suraj ka zawal
chaDhta suraj ye bata deta hai
baDhte sae hain kisi ke ghammaz
bahte bahte ye kahe jate hain
raat ke jage hue soe hue uThe hain
dhup khate hue laTke laTke
jab koi pairahan aawezan
ek jhonke se laraz uThta hai
ham-nawai ko larazta hua saya bhi kahe jata hai
biti lazzat ki kahani sab se
biti lazzat bhi mere waste ek saya hai
kisi suraj ke tale aate hue baadal ka
sarsaraate hue jhonke ki tarah aata hua jata hua
baaten karne ko wo ek pal bhi nahin rukta tha
din ka saya tha use raat ki ek baat bhi malum na thi
raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki
aur ab din hai mujhe sae nazar aate hain
bolte sae nazar aate hain
jaane pahchane hain phir bhi nae mafhum samjhate hain samjhate hi chale jate hain
phir palaT aate hain
jaise main jata tha aur ja ke palaT aata tha
isi raste pe jo ek saya tha
rasta aaj bhi saya hai magar ek naya saya hai
rah mein ek makan
wo bhi saya hai udasi ka ghanera sunsan
rah mein aati hui har murat
ek saya hai chuDail
hur ka us mein koi aks nazar aata nahin
dekhte hi jise main kanp uTha karta hun
aankhon mein KHun utar aata hai
samne dhund si chha jati hai
dil dhaDakta hi chala jata hai
aur main dekhta hun
sae milte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain
hinhinate hue hanste hain pukar uThte hain
dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi
dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi
saya KHamosh raha karta hai
dekh hum bolte hain bolte sae hain tamam
hum se bach tu kahan jaega
aur main kanp uTha karta hun
aur wo bolte hain
kanp uTha hai larazta hai ye buzdil nakaam
baat karta hi nahin hai koi
ab bhi shayad ye samajhta hai larazte dil mein
saya KHamosh raha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.