din raat
jāgte ḳhayāloñ ko, sochte savāloñ ko
rat-jage kī aadat hai
āshiqī kī fitrat hai
tujh ko niiñd pyārī hai
tujh pe raat bhārī hai
niiñd maut hotī hai ḳhvāb kii, ḳhayāloñ kī
zindagī ke sāloñ kī
tujh ko har ḳhabar jānāñ!
merī raat jalne se
mere soch khulne se
terā din nikaltā hai
jagte KHayalon ko, sochte sawalon ko
rat-jage ki aadat hai
aashiqi ki fitrat hai
tujh ko nind pyari hai
tujh pe raat bhaari hai
nind maut hoti hai KHwab ki, KHayalon ki
zindagi ke salon ki
tujh ko har KHabar jaanan!
meri raat jalne se
mere soch khulne se
tera din nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.