dipawali
jab se aa.ī hai dīpāvalī
har taraf chhā.ī hai raushnī
har jagah chāhatoñ ke diye
shaam hote hī jalne lage
phul-jhaḌiyoñ kā bāzār hai
ye paTāḳhoñ kā tehvār hai
dīpoñ kā hai suhānā samāñ
jin se dhartī banī kahkashāñ
jitne rocket paTāḳhe chale
āsmāñ par lage haiñ bhale
ho ga.iiñ duur tārīkiyāñ
ab haiñ raushan zamīñ āsmāñ
jab se aa.ī haiñ dīpāvalī
har taraf chhā.ī hai raushnī
ek mauqa hai pahchān kā
dil milātī hai insān kā
chāhatoñ kī ye tasvīr hai
ik na.e yug kī ta.abīr hai
jab se aai hai dipawali
har taraf chhai hai raushni
har jagah chahaton ke diye
sham hote hi jalne lage
phul-jhaDiyon ka bazar hai
ye paTaKHon ka tehwar hai
dipon ka hai suhana saman
jin se dharti bani kahkashan
jitne rocket paTaKHe chale
aasman par lage hain bhale
ho gain dur tarikiyan
ab hain raushan zamin aasman
jab se aai hain dipawali
har taraf chhai hai raushni
ek mauqa hai pahchan ka
dil milati hai insan ka
chahaton ki ye taswir hai
ek nae yug ki tabir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.