diwali aur diwali milan
ghar kī qismat jagī ghar meñ aa.e sajan
aise mahke badan jaise chandan kā ban
aaj dhartī pe hai sovarg kā bāñkpan
apsarā.eñ na kyuuñ gaa.eñ mañglācharan
zindagī se hai hairān yamrāj bhī
aaj har diip añdhere pe hai ḳhanda-zan
un ke qadmoñ se phuul aur phul-vāriyāñ
āgman un kā madhumās kā āgman
us ko sab kuchh milā jis ko vo mil ga.e
vo haiñ be-ās kī aas nirdhan ke dhan
hai dīvālī kā tyauhār jitnā sharīf
shahr kī bijliyāñ utnī hī bad-chalan
un se achchhe to maaTī ke kore diye
jin se dahlīz raushan hai āñgan chaman
kauḌiyāñ daañv kī chit paḌeñ chāhe paT
jiit to us kī hai jis kī paḌ jaa.e ban
hai dīvālī-milan meñ zarūrī 'nazīr'
haath milne se pahle diloñ kā milan
ghar ki qismat jagi ghar mein aae sajan
aise mahke badan jaise chandan ka ban
aaj dharti pe hai sowarg ka bankpan
apsaraen na kyun gaen manglacharan
zindagi se hai hairan yamraj bhi
aaj har dip andhere pe hai KHanda-zan
un ke qadmon se phul aur phul-wariyan
aagman un ka madhumas ka aagman
us ko sab kuchh mila jis ko wo mil gae
wo hain be-as ki aas nirdhan ke dhan
hai diwali ka tyauhaar jitna sharif
shahr ki bijliyan utni hi bad-chalan
un se achchhe to maTi ke kore diye
jin se dahliz raushan hai aangan chaman
kauDiyan danw ki chit paDen chahe paT
jit to us ki hai jis ki paD jae ban
hai diwali-milan mein zaruri 'nazir'
hath milne se pahle dilon ka milan
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 388)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.