Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali

MORE BYNazeer Akbarabadi

    dosto kyā kyā divālī meñ nashāt-o-aish hai

    sab muhayyā hai jo is hañgām ke shāyān hai

    is tarah haiñ kūcha-o-bāzār par naqsh-o-nigār

    ho ayaañ husn-e-nigārisatāñ jin se ḳhuub re

    garm-joshī apnī bā-jām-e-charāġhāñ lutf se

    kyā raushan kar rahī hai har taraf roġhan mai

    mā.il-e-sair-e-charāġhāñ naḳhl har dam-ba-dam

    hāsil-e-nazzārā husn-e-sham-e-rūyāñ pai-ba-pai

    āshiqāñ kahte haiñ māshūqoñ se bā-ijz-o-niyāz

    hai agar manzūr kuchh lenā to hāzir haiñ ruupe

    gar mukarrar arz karte haiñ to kahte haiñ vo shoḳh

    ham se lete ho miyāñ takrār-o-hujjat tā-ba-kai

    kahte haiñ ahl-e-qimār aap meñ garm iḳhtilāt

    ham to Dab meñ sau rupe rakhte haiñ tum rakhte ho kai

    jiit paḌtā hai jis dānoñ vo kahtā hai yuuñ

    sū-e-dast-e-rāst hai mere koī farḳhanda-pai

    hai dasahre meñ bhī yuuñ go farhat-o-zīnat 'nazīr'

    par dīvālī bhī ajab pākīza-tar tyauhār hai

    dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai

    sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai

    is tarah hain kucha-o-bazar par naqsh-o-nigar

    ho ayan husn-e-nigarisatan ki jin se KHub re

    garm-joshi apni ba-jam-e-charaghan lutf se

    kya hi raushan kar rahi hai har taraf roghan ki mai

    mail-e-sair-e-charaghan naKHl har ja dam-ba-dam

    hasil-e-nazzara husn-e-sham-e-ruyan pai-ba-pai

    aashiqan kahte hain mashuqon se ba-ijz-o-niyaz

    hai agar manzur kuchh lena to hazir hain rupe

    gar mukarrar arz karte hain to kahte hain wo shoKH

    hum se lete ho miyan takrar-o-hujjat ta-ba-kai

    kahte hain ahl-e-qimar aap mein garm iKHtilat

    hum to Dab mein sau rupe rakhte hain tum rakhte ho kai

    jit ka paDta hai jis ka danon wo kahta hai yun

    su-e-dast-e-rast hai mere koi farKHanda-pai

    hai dasahre mein bhi yun go farhat-o-zinat 'nazir'

    par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now