diwali ki sham
chhup gayā ḳhurshīd-e-tābāñ aa.ī dīvālī kī shaam
har taraf jashn-e-charāġhāñ kā hai kaisā ehtimām
DevḌhiyoñ par shādyāne aish ke bajne lage
aur rañgīñ qumqumoñ se bām-o-dar sajne lage
itr-o-ambar se havā hai kis qadar mahkī huī
ḳhushnumā mahtābiyoñ se hai fazā dahkī huī
phuljhaḌī se phuul yuuñ jhaḌte haiñ jaise kahkashāñ
har taraf phailā fazā meñ hai paTāḳhoñ kā dhuāñ
kyā maze kī ātish-afshānī hai agnī-bān kī
dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insān kī
haiñ sitāroñ kī ye laḌiyāñ yā charāġhoñ kī qatār
kūcha-o-bāzār ke dīvār-o-dar haiñ nūr-bār
baḌh rahā hai sūrat-e-sailāb logoñ kā hujūm
har dukāñ par gāhakoñ kā shor-o-ġhul hai bil-umūm
raushnī ban kar ḳhushī har samt hai chhā.ī huī
ek ḳhilqat jis ke jalvoñ kī tamāshā.ī huī
chhup gaya KHurshid-e-taban aai diwali ki sham
har taraf jashn-e-charaghan ka hai kaisa ehtimam
DewDhiyon par shadyane aish ke bajne lage
aur rangin qumqumon se baam-o-dar sajne lage
itr-o-ambar se hawa hai kis qadar mahki hui
KHushnuma mahtabiyon se hai faza dahki hui
phuljhaDi se phul yun jhaDte hain jaise kahkashan
har taraf phaila faza mein hai paTaKHon ka dhuan
kya maze ki aatish-afshani hai agni-ban ki
dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insan ki
hain sitaron ki ye laDiyan ya charaghon ki qatar
kucha-o-bazar ke diwar-o-dar hain nur-bar
baDh raha hai surat-e-sailab logon ka hujum
har dukan par gahakon ka shor-o-ghul hai bil-umum
raushni ban kar KHushi har samt hai chhai hui
ek KHilqat jis ke jalwon ki tamashai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.