diwali
raat kuchh tārīk bhī hai aur kuchh raushan bhī hai
vaqt ke māthe pe shoḳhī bhī hai bholā-pan bhī hai
bām-o-dar par aaj miTTī ke diye haiñ is tarah
āsmānoñ par sitāre jagmagā.eñ jis tarah
rāstoñ par haiñ danā-dan kī sadā.eñ ḳhaufnāk
zindagī se maut goyā kar rahī hai tāk-jhāñk
ho rahī haiñ har galī-kūche meñ ātish-bāziyāñ
aar rahā hai abr kī sūrat tamavvul kā dhuāñ
kar rahe haiñ laxmī-pūjan bhī gharoñ meñ sāhūkār
dev daulat ko samajh baiThe haiñ rabb-e-iqtidār
hind vāloñ ko maraz hai nāravā taqlīd kā
aaj ghar meñ seTh-jī bhī khel lete haiñ juā
ho sake to chhoḌ de rasm-e-kohan mard-e-javāñ
tā-ba-kai dohrā.e jā.egā fasurda dāstāñ
aql se kuchh kaam le hindostāñ par rahm kar
aaj bhī lākhoñ gharoñ meñ hai añdhere kā guzar
hosh meñ aa ḳhvāb se bedār ho ai vaqf-e-naum
mulk par tere hukūmat kar rahī hai ġhair qaum
mard hai tū kaam le himmat se ronā chhoḌ de
naam le arjun kā zanjīr-e-ġhulāmī toḌ de
hind kī ḳhvābīda qismat ko jagānā chāhiye
shauq se phir tujh ko dīvālī manānā chāhiye
raat kuchh tarik bhi hai aur kuchh raushan bhi hai
waqt ke mathe pe shoKHi bhi hai bhola-pan bhi hai
baam-o-dar par aaj miTTi ke diye hain is tarah
aasmanon par sitare jagmagaen jis tarah
raston par hain dana-dan ki sadaen KHaufnak
zindagi se maut goya kar rahi hai tak-jhank
ho rahi hain har gali-kuche mein aatish-baziyan
aar raha hai abr ki surat tamawwul ka dhuan
kar rahe hain laxmi-pujan bhi gharon mein sahukar
dew daulat ko samajh baiThe hain rabb-e-iqtidar
hind walon ko maraz hai narawa taqlid ka
aaj ghar mein seTh-ji bhi khel lete hain jua
ho sake to chhoD de rasm-e-kohan mard-e-jawan
ta-ba-kai dohrae jaega fasurda dastan
aql se kuchh kaam le hindostan par rahm kar
aaj bhi lakhon gharon mein hai andhere ka guzar
hosh mein aa KHwab se bedar ho ai waqf-e-naum
mulk par tere hukumat kar rahi hai ghair qaum
mard hai tu kaam le himmat se rona chhoD de
nam le arjun ka zanjir-e-ghulami toD de
hind ki KHwabida qismat ko jagana chahiye
shauq se phir tujh ko diwali manana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.