disability
ek phuul bagiyā meñ
maiñ ne dekhā hai jis meñ
ek pañkhuḌī kam hai
baaqī saare phūloñ se
par use mayassar hai
ek sā havā paanī
ek jaise rañg-o-bū
ek jaisā hī jaadū
titliyāñ hoñ bhañvreñ hoñ
yā kisī kī nazreñ hoñ
us meñ aur auroñ meñ
farq hī nahīñ kartīñ
haañ magar mire pyāre
ye chaman kā qissa thā
aadmī kī bastī meñ
is tarah nahīñ hotā
phuul rotā rahtā hai
farq hotā rahtā hai
ek phul bagiya mein
main ne dekha hai jis mein
ek pankhuDi kam hai
baqi sare phulon se
par use mayassar hai
ek sa hawa pani
ek jaise rang-o-bu
ek jaisa hi jadu
titliyan hon bhanwren hon
ya kisi ki nazren hon
us mein aur auron mein
farq hi nahin kartin
han magar mere pyare
ye chaman ka qissa tha
aadmi ki basti mein
is tarah nahin hota
phul rota rahta hai
farq hota rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.