diye bujha do
diye bujhā do
aur un diyoñ ko jalā.e rakhne ke saare asbāb talaf kar do
vajūd kī saltanat ke us paar bhī añdherā
vajūd kī saltanat ke us paar bhī
añdherā hai to achchhā
ghuTan baḌhā do
ki saañs ruk ruk ke ab bhī siine meñ aa rahī hai
kuchh aur meḳheñ utaar do ār-pār dil ke
kuchh aur gahrā chalāo nashtar
salīb par zindagī abhī kasmasā rahī hai
diye bujhā do
aur un diyoñ ko jalāne vaalī nigāh ke diip bhī bujhā do
ye raushnī kī payāmbar
ye sahar kī muḳhbir
bahut huā noch lo ye āñkheñ
dhuāñ dhuāñ sab sukūt kar do
diye bujhā do
diye bujha do
aur un diyon ko jalae rakhne ke sare asbab talaf kar do
wajud ki saltanat ke us par bhi andhera
wajud ki saltanat ke us par bhi
andhera hai to achchha
ghuTan baDha do
ki sans ruk ruk ke ab bhi sine mein aa rahi hai
kuchh aur meKHen utar do aar-par dil ke
kuchh aur gahra chalao nashtar
salib par zindagi abhi kasmasa rahi hai
diye bujha do
aur un diyon ko jalane wali nigah ke dip bhi bujha do
ye raushni ki payambar
ye sahar ki muKHbir
bahut hua noch lo ye aankhen
dhuan dhuan sab sukut kar do
diye bujha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.