do ajnabi
ik pattī ke
TūTne girne kī āvāz se
sihar uThā hai
sahemtā
peḌ
be-ta.alluq shāḳh par baiThī hai
chiḌiyā
naak ke nīche paḌā hai
ghoñsla bikhrā huā
jis ke girne aur bikharne kī
sadā se
be-ḳhabar hai
peḌ
muddatoñ se
vo hamārī hī tarah haiñ
saath saath
ek patti ke
TuTne girne ki aawaz se
sihar uTha hai
sahemta
peD
be-talluq shaKH par baiThi hai
chiDiya
nak ke niche paDa hai
ghonsla bikhra hua
jis ke girne aur bikharne ki
sada se
be-KHabar hai
peD
muddaton se
wo hamari hi tarah hain
sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.