do bund pani
kyā merī āñkhoñ meñ sannāTā hai
nahīñ barf-bārī ho rahī hai
log mujh se ḳhauf khāne lage haiñ jaise murde se
kyā mujh se kāfūr kī bū aatī hai
nahīñ to merī sāñsoñ meñ sāvan kā abas aur amaltās kī garmī hai
aur sāñso aur āñkhoñ ke darmiyān
fāsla ziyāda nahīñ
phir bhī bahut hai
is liye ki ḳhatm ho jaa.e to strugle hī ḳhatm ho jaa.e
zindagī ko jaarī to rakhnā hai intiqām
raat bahut paḌī hai alaav jaltā rahe to achchhā hai
jānvar dhueñ se ḳhauf khāte haiñ
aur insān raakh se
aag merā suhāg hai
āshiqoñ ke diloñ par haañ nahīñ hote ki maañg nikāl kar aag bhar dī jaa.e
is liye un ke dil phaT jaate haiñ
aag andar utar jaatī hai
uupar barf girtī rahtī hai
kapās ke phūloñ par moharram kā mausam hai yā-husainā vā-husainā
kapās dhunkī huī āsmāñ kī chhātī se barastī hai
ThanDī Thaar palkeñ bhī nahīñ jhapaktīñ
palkoñ kī jhālareñ safed ho jaatī haiñ barf ban kar un meñ aTī rahtī hai
aur andar barāmde ḳhālī ho jaate haiñ session mag jaatā hai
laḌkī nāḳhun kāTtī hai to chāñd us kī hathelī par utar aatā hai
tumhārā dūlhā bahut ḳhūb-sūrat hogā
donoñ hatheliyāñ joḌo to bhalā
chāñd to puurā ho gayā magar raushnī hāthoñ meñ band nahīñ ho sakī
phail ga.ī hatheliyoñ meñ chhed the
scientific sī baat hai
aag amiir suhāg sab laḌkiyoñ ke diloñ meñ nahīñ jaltī is liye ki sab
laḌkiyāñ āshiq nahīñ hotīñ
mahbūbā.eñ hotī haiñ
aur un kī āñkhoñ ke barāmde ḳhvān se saje rahte haiñ
barf-bārī un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq ma.anoñ ke saath
sūraj tulūa hotā hai
barf-bārī aur bulandiyoñ par chaḌh ga.ī
jānvar maidānoñ meñ nikal aa.e palkeñ ḳhāna-ba-dosh ho ga.iiñ
apnā sāvan uThā.e uThā.e
ghaaT ghaaT do band paanī islām-ābād meñ na rājasthān meñ
barf kī nahr nikālī jā.egī
aur mahbūbā.eñ aag ke bistar par leT kar mīThī barf ke gole chūseñgī
abhī un kī umr hī kyā hai
abhī to ye log small-chickens-of-snakes pāltī haiñ
māthe par kunDal Dāltī haiñ
chāhe jaane ke liye
lambī sunahrī kaar aur
do buuñd paanī
na barfistān meñ na ātish-dān meñ
laḌkī kī jins tabdīl ho rahī hai
laḌkī kā dūlhā do buuñd paanī kī ḳhātir havā ho gayā
laḌkī scare-crow ho ga.ī shāyad dūlhā ke bhā.iyoñ ke khetoñ meñ
achchhā hai dar-badarī hone se to bach rahī
bach rahī to use bachāne
us kā dūlhā zarūr aa.egā
kya meri aankhon mein sannaTa hai
nahin barf-bari ho rahi hai
log mujh se KHauf khane lage hain jaise murde se
kya mujh se kafur ki bu aati hai
nahin to meri sanson mein sawan ka abas aur amaltas ki garmi hai
aur sanso aur aankhon ke darmiyan
fasla ziyaada nahin
phir bhi bahut hai
is liye ki KHatm ho jae to strugle hi KHatm ho jae
zindagi ko jari to rakhna hai intiqam
raat bahut paDi hai alaw jalta rahe to achchha hai
jaanwar dhuen se KHauf khate hain
aur insan rakh se
aag mera suhag hai
aashiqon ke dilon par han nahin hote ki mang nikal kar aag bhar di jae
is liye un ke dil phaT jate hain
aag andar utar jati hai
upar barf girti rahti hai
kapas ke phulon par moharram ka mausam hai ya-husaina wa-husaina
kapas dhunki hui aasman ki chhati se barasti hai
ThanDi Thaar palken bhi nahin jhapaktin
palkon ki jhaalaren safed ho jati hain barf ban kar un mein aTi rahti hai
aur andar baramde KHali ho jate hain session mag jata hai
laDki naKHun kaTti hai to chand us ki hatheli par utar aata hai
tumhaara dulha bahut KHub-surat hoga
donon hatheliyan joDo to bhala
chand to pura ho gaya magar raushni hathon mein band nahin ho saki
phail gai hatheliyon mein chhed the
scientific si baat hai
aag amir suhag sab laDkiyon ke dilon mein nahin jalti is liye ki sab
laDkiyan aashiq nahin hotin
mahbubaen hoti hain
aur un ki aankhon ke baramde KHwan se saje rahte hain
barf-bari un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq manon ke sath
suraj tulua hota hai
barf-bari aur bulandiyon par chaDh gai
jaanwar maidanon mein nikal aae palken KHana-ba-dosh ho gain
apna sawan uThae uThae
ghaT ghaT do band pani islam-abaad mein na rajasthan mein
barf ki nahr nikali jaegi
aur mahbubaen aag ke bistar par leT kar miThi barf ke gole chusengi
abhi un ki umr hi kya hai
abhi to ye log small-chickens-of-snakes palti hain
mathe par kunDal Dalti hain
chahe jaane ke liye
lambi sunahri kar aur
do bund pani
na barfistan mein na aatish-dan mein
laDki ki jins tabdil ho rahi hai
laDki ka dulha do bund pani ki KHatir hawa ho gaya
laDki scare-crow ho gai shayad dulha ke bhaiyon ke kheton mein
achchha hai dar-badari hone se to bach rahi
bach rahi to use bachane
us ka dulha zarur aaega
- Book : meyaar (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.