do ishq
(1)
taaza haiñ abhī yaad meñ ai sāqī-e-gulfām
vo aks-e-ruḳh-e-yār se lahke hue ayyām
vo phuul sī khultī huī dīdār kī saa.at
vo dil sā dhaḌaktā huā ummīd kā hañgām
ummīd ki lau jaagā ġham-e-dil kā nasība
lo shauq kī tarsī huī shab ho ga.ī āḳhir
lo Duub ga.e dard ke be-ḳhvāb sitāre
ab chamkegā be-sabr nigāhoñ kā muqaddar
is baam se niklegā tire husn kā ḳhurshīd
is kunj se phūTegī kiran rang-e-hinā kī
is dar se bahegā tirī raftār kā sīmāb
us raah pe phailegī shafaq terī qabā kī
phir dekhe haiñ vo hijr ke tapte hue din bhī
jab fikr-e-dil-o-jāñ meñ fuġhāñ bhuul ga.ī hai
har shab vo siyah bojh ki dil baiTh gayā hai
har sub.h kī lau tiir sī siine meñ lagī hai
tanhā.ī meñ kyā kyā na tujhe yaad kiyā hai
kyā kyā na dil-e-zār ne DhūñDī haiñ panāheñ
āñkhoñ se lagāyā hai kabhī dast-e-sabā ko
Daalī haiñ kabhī gardan-e-mahtāb meñ bāheñ
(2)
chāhā hai isī rañg meñ lailā-e-vatan ko
taḌpā hai isī taur se dil us kī lagan meñ
DhūñDī hai yūñhī shauq ne āsā.ish-e-manzil
ruḳhsār ke ḳham meñ kabhī kākul kī shikan meñ
us jān-e-jahāñ ko bhī yūñhī qalb-o-nazar ne
hañs hañs ke sadā dī kabhī ro ro ke pukārā
puure kiye sab harf-e-tamannā ke taqāze
har dard ko ujyālā har ik ġham ko sañvārā
vāpas nahīñ pherā koī farmān junūñ kā
tanhā nahīñ lauTī kabhī āvāz jaras kī
ḳhairiyyat-e-jāñ rāhat-e-tan sehhat-e-dāmāñ
sab bhuul ga.iiñ maslihateñ ahl-e-havas kī
is raah meñ jo sab pe guzartī hai vo guzrī
tanhā pas-e-zindāñ kabhī rusvā sar-e-bāzār
garje haiñ bahut shaiḳh sar-e-gosha-e-mimbar
kaḌke haiñ bahut ahl-e-hakam bar-sar-e-darbār
chhoḌā nahīñ ġhairoñ ne koī nāvak-e-dushnām
chhūTī nahīñ apnoñ se koī tarz-e-malāmat
is ishq na us ishq pe nādim hai magar dil
har daaġh hai is dil meñ ba-juz-dāġh-e-nadāmat
(1)
taza hain abhi yaad mein ai saqi-e-gulfam
wo aks-e-ruKH-e-yar se lahke hue ayyam
wo phul si khulti hui didar ki saat
wo dil sa dhaDakta hua ummid ka hangam
ummid ki lau jaga gham-e-dil ka nasiba
lo shauq ki tarsi hui shab ho gai aaKHir
lo Dub gae dard ke be-KHwab sitare
ab chamkega be-sabr nigahon ka muqaddar
is baam se niklega tere husn ka KHurshid
is kunj se phuTegi kiran rang-e-hina ki
is dar se bahega teri raftar ka simab
us rah pe phailegi shafaq teri qaba ki
phir dekhe hain wo hijr ke tapte hue din bhi
jab fikr-e-dil-o-jaan mein fughan bhul gai hai
har shab wo siyah bojh ki dil baiTh gaya hai
har subh ki lau tir si sine mein lagi hai
tanhai mein kya kya na tujhe yaad kiya hai
kya kya na dil-e-zar ne DhunDi hain panahen
aankhon se lagaya hai kabhi dast-e-saba ko
Dali hain kabhi gardan-e-mahtab mein bahen
(2)
chaha hai isi rang mein laila-e-watan ko
taDpa hai isi taur se dil us ki lagan mein
DhunDi hai yunhi shauq ne aasaish-e-manzil
ruKHsar ke KHam mein kabhi kakul ki shikan mein
us jaan-e-jahan ko bhi yunhi qalb-o-nazar ne
hans hans ke sada di kabhi ro ro ke pukara
pure kiye sab harf-e-tamanna ke taqaze
har dard ko ujyala har ek gham ko sanwara
wapas nahin phera koi farman junun ka
tanha nahin lauTi kabhi aawaz jaras ki
KHairiyyat-e-jaan rahat-e-tan sehhat-e-daman
sab bhul gain maslihaten ahl-e-hawas ki
is rah mein jo sab pe guzarti hai wo guzri
tanha pas-e-zindan kabhi ruswa sar-e-bazar
garje hain bahut shaiKH sar-e-gosha-e-mimbar
kaDke hain bahut ahl-e-hakam bar-sar-e-darbar
chhoDa nahin ghairon ne koi nawak-e-dushnam
chhuTi nahin apnon se koi tarz-e-malamat
is ishq na us ishq pe nadim hai magar dil
har dagh hai is dil mein ba-juz-dagh-e-nadamat
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.