do laDen tisre ka bhala ho
khet meñ chand murġhiyāñ ham-sin
chug rahī thiiñ ḳhushī ḳhushī ik din
aur do murġhe aise nazar aa.e
laḌ rahe the jo ek bhuTTe par
itne meñ ik tīsrā murġhā
aa ke chupke se bhuTTā le bhāgā
rah ga.e donoñ ho ke vo ḳhāmosh
aur donoñ ko aayā ab ye hosh
ham na laḌte to karte kyuuñ nuqsān
sach to ye hai ki haiñ baḌe nādān
ab jo pachhtā.e fā.eda kyā hai
phuuT kā bas yahī natīja hai
is se ma.alūm ho gayā laḌko
do laḌeñ tīsre kā achchhā ho
mil ke rahne se kaam hotā hai
yahī dastūr kul jahāñ kā hai
aur laḌte rahe agar bāham
pā nahīñ sakte fā.eda kuchh ham
yaad rakkho ye baat 'jauhar' kī
ye uḌātā nahīñ hai be-par kī
khet mein chand murghiyan ham-sin
chug rahi thin KHushi KHushi ek din
aur do murghe aise nazar aae
laD rahe the jo ek bhuTTe par
itne mein ek tisra murgha
aa ke chupke se bhuTTa le bhaga
rah gae donon ho ke wo KHamosh
aur donon ko aaya ab ye hosh
hum na laDte to karte kyun nuqsan
sach to ye hai ki hain baDe nadan
ab jo pachhtae faeda kya hai
phuT ka bas yahi natija hai
is se malum ho gaya laDko
do laDen tisre ka achchha ho
mil ke rahne se kaam hota hai
yahi dastur kul jahan ka hai
aur laDte rahe agar baham
pa nahin sakte faeda kuchh hum
yaad rakkho ye baat 'jauhar' ki
ye uData nahin hai be-par ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.