do mashware
sumūm tez hai mauj-e-sabā ko aam karo
ḳhizāñ ke ruḳh ko palaTne kā ehtimām karo
bikhar rahe ho mazāmīn-e-shā.erī kī tarah
kisī maqām pe jam jaao koī kaam karo
sabaq milā hai ye tārīḳh ke navishtoñ se
ki teġh-e-haidar-e-karrār be-niyām karo
jabīñ pe ḳhaak hai kis āstān-e-daulat kī
kabhī to apnī aanā kā bhī ehtirām karo
ye mashvare haiñ ka.ī din se qasr-e-shāhī meñ
kisī tarīq se dānishvaroñ ko raam karo
qalam kī shoḳh-nigārī ko rokne ke liye
zabāñ-darāz adīboñ ko zer-e-dām karo
jhukā ke sar kisī farmāñ-ravā kī chaukhaT par
zabān-e-tohmat-o-ilzām be-lagām karo
'zafar' alī kī zabāñ meñ hai mashvara merā
mirī taraf se ise dostoñ meñ aam karo
is ibtilā se ḳhudā kī hazār-bār panāh
ki jhuk ke tum kisī nā-ahl ko salām karo
sumum tez hai mauj-e-saba ko aam karo
KHizan ke ruKH ko palaTne ka ehtimam karo
bikhar rahe ho mazamin-e-shaeri ki tarah
kisi maqam pe jam jao koi kaam karo
sabaq mila hai ye tariKH ke nawishton se
ki tegh-e-haidar-e-karrar be-niyam karo
jabin pe KHak hai kis aastan-e-daulat ki
kabhi to apni aana ka bhi ehtiram karo
ye mashware hain kai din se qasr-e-shahi mein
kisi tariq se danishwaron ko ram karo
qalam ki shoKH-nigari ko rokne ke liye
zaban-daraaz adibon ko zer-e-dam karo
jhuka ke sar kisi farman-rawa ki chaukhaT par
zaban-e-tohmat-o-ilzam be-lagam karo
'zafar' ali ki zaban mein hai mashwara mera
meri taraf se ise doston mein aam karo
is ibtila se KHuda ki hazar-bar panah
ki jhuk ke tum kisi na-ahl ko salam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.